Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice, healthiest fruits- benefit, Hindi mein
Watermelon, Tarbooj- Ek aaisa phal jiske bare me har koi jaanta hai ye phal zyada tar garmiyo me zyada tadaad me milta hai.
Meetha dekhne me khoobsurat jab hum isse garmiyo me khate hai to taro taza hojate hai isme 76% pani hota hai tarbuz me vItaminq-A, vitamin-B, vitamin-C protien, phosphorus, carbohydrate, potacium, iron, aur magnesium, paya jata ha.
lekin kya aapko pata hai ye phal swadist thanda hone k sath sath hamare liye kai faide bhi apne andar rakhta hai.
Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice benefits.
1): doctors k mutabik तरबूज garmiyo me hamare body me pani ki matra badhata hai. Sath he garmi se thandak pohchata hai aap isse aaise he kacha khae ya Watermelon juice bana kar piye ye har haal me aapke shareer me pani ki matra ko badhata hai.
2): bhook Na lagti ho.
तरबूज hamari pachan shakti badhata hai.
Ulti jaisa mahsoos ho bhook Na lagti ho man ghabrata ho to khane se pehle 50 gram watermelon juice me misri, aur nimbu Nichod kar piye.
3): twacha par keel muhase.
Watermelon, Tarbooj- ka guda nikal kar keel muhaso ki jagah par dhire dhire ragde phir 5 minute k baad gungune pani se dho le keel muhaso ki samasya door hojaegi.
तरबूज bade bimariyo ko door karne ki shramta.
4):Bawasir theek karta hai.
Bawasir k mareez ko 50 gram tarbuz me 3 gram amle ka powder milakar kuch Dino tak khana ya Watermelon juice pina chahiye isse Bawasir jald theek hojaega.
5): rog prati rodhak shramta ko badhata hai.
तरबूज- ko kale angoor (grapes) aur pile angoor (grapes) papaya, banana, santra (orange), anaar (pomegranate), Anjeer, milakar fruit salad bana kar khae isse ye hamare rog prati rodhak shramta ko badhata hai. Aapko rogo se ladne me
madad karta hai.
madad karta hai.
6):muu se khoon nikalne ko rokta hai.
10 gram tarbuz k beejo me shahed Mila kar Roz khae isse muu se khoon nikalne ki pareshani door hojaegi.
7): Dil ki bimariyo se bhi ladta hai.
Isme moujood vitamin-6 kafi matra me paya jata hai Jo Dil k rog o se ladne me hamari madad karta hai. Iske ilawa hamari body ko infection se ladne k liye vitamin-C ki zarurat padti hai Jo तरबूज me hota hai.
Watermelon, Tarbooj- ke kuch nuksan.
1): jinko heart se sambandhit koi bimari hai unhe watermelon, Tarbooj- ka sewan nahi karn chahiye kyuki isme prachur matra me potassium paya jata hai jiska hadd se zyada istemal dil ko bimar karsakta hai aur jinhe pehle se he dil ki bimari ho unke liye ye bohot shrati pohcha sakta hai.
2): jinko diabetes hai wo bhi तरबूज ka sewan na kare kyuki isme natural sugar hoti hai jisse diabetes k mareezo ki samasya badh sakti hai.
3): तरबूज ka ya Watermelon juice ka hadd se zyada istemal na kare isse ulti, sujan, gas jaisi samasya hosakti hai iska roz garmiyo me niyamit he sewan kare roz 100 se 200 gram he khae.
Comments
Post a Comment