Skip to main content

Olive oil - (jaitun oil) zaitoon oil benefits aur nuksan, Hindi mein

Olive oil - (jaitun oil) zaitoon oil benefits aur nuksan, Hindi mein

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)

Olive oil - (jaitun oil) ek aushadhi guno se bharpoor is tel k aaise aaise fayde hai k jaan kar aap hairan rah jaoge iska upyog khano me tel ki tarah malish karne me sabun me salad par daalne aur dawai me bhi is kheemti tel ka istemal kiya jata hai ye ek paudhe k beenj hai jise pees kar is phal ka tel nikala jata hai dunya me iska sabse bada utpadak spain hai.
Lekin ab dhire dhire puri dunya me  (ज़ैतून) ki demand badhti jarahi hai isme.

  1. Prachur matra me Energy.
  2. Vitamin-K
  3. Iron.
  4. Vitamin-E
  5. Saturated fat.
  6. Omega-3.
  7. Monounsaturated.
  8. Omega-6.
  9. Polyunsaturated fat.
Paya jata hai.

Olive oil - (jaitun oil) kay fayde.

1): depression k liye.
Olive oil - (jaitun oil) me moujood monosaturated fat depression ko door karke neend ko bahtar karta hai.

2): high blood pressure k liye.
Jinko high blood pressure ki samasya hai unke liye zaitoon oil bohot laabhkari hai isme moujood monosaturated fat khoon ko saaf karke khoon ka bahav sahi karta hai blood circulation ko bahtar karta hai.

3): diabetes k liye.
Jinhe diabetes ki pareshani hai unko is zaitoon oil ka istemaal zaroor karna chahiye ye aapke sugar level ko control karta hai research se baat samne aai hai k ye type to diabetes k khatre ko kam karta hai.

4): balo ko mazboot kare.
Ek katory me (जैतून) ka tel lijiye usse halka gunguna garam kar lijiye iske baad is tel ko sar par 5 se 10 minute tak laga kar halke malish kar lijiye phir ek kapde ko garam pani me bhigo kar apne sar k atraaf lapet lijiye qareeb 15 se 20 minute aaise he kapde ko rahne de uske baad balo ko dho le isse aapke baal ghane mazboot hojaege sath he jhadna bhi kam hoga iske ilawa sar me blood serculation ache se hoga.

4): kabz ko door kare.
Agar aapko chahe jitna bhi purane se purana kabz ki takleef ho to koi baat nahi sirf rozana ek chamach (जैतून) ka tel piye chahe chai me mila kar ya black tea me ya phir nimbu pani me mila kar piye isse aapka saalo purana bhi kabz door hojaega.

5): cancer se bachav.
Zaitoon oil me aaise aaise aushadhi gundd bhare hai ki ye kisi bhi prakaar k cancer k bacteria ko jism me panapne nahi deta.

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)


6): yadasht tez kare.
Roz zaitoon ka niyamit istemal karne se aapki yadasht tez hogi.

7): sujan k liye.
Shareer me kahi bhi kisi bhi tarah ki sujan ho to roz 3 se 4 chamach ,zaitoon oil ka istemaal kare isse har tarah ki sujan khatam hojaegi.

8): chahre ko saaf chamakdaar banae.
Hafte me 3 bar zaitoon ka aadha chamach tel 1 chamach shahed me mila kar halke hatho se chahre par lagae phir isse 10 se 15 minute k liye chodd de isse aapki skin chamakdar aur nikharni shuru hojaegi.
Lekin dhyan rahe iska istemal un logo ko nahi karna chahiye jinko koi skin problem pehle se he ho ya black heads jaisi samasya ho.

9): rog prati rodhak shrmta badhae.
Zaitoon ka roz niyamit istemaal aapke rog pratirodhak shartmta ko badha ta hai kyuki isme prachur matra me calcium paya jata hai jo shareer ko kisi bhi prakaar k rogo se ladne me madad karta hai.

10): maansik rogo se bache.
जैतून k tel ka niyamit istemaal aapke dimag ko thandak pohcha kar maansik rogo se ladne me saksham hota hai.

Olive oil - (jaitun oil) kinhe istemal nahi karna chahiye iske nuksan.

1): agar aapko skin me rashesh ho ya black head jaisi pareshani ho to aapko olive oil - (jaitun oil) ka istemaal nahi karna chahiye ye aapki samasya aur badha sakta hai.

2): agar aapko Allergy ki samasya hai to aapko zaitoon ka istemaal nahi karna chahiye warna ye aapki pareshani badha sakta hai.

3): agar aap ghar se bahar jane wale ho to zaitoon ko laga kar na jae warna dhool mitti chahre par chipak kar keel muhaso jaisi samasya paida kar sakti hai.

4): zaitoon k tel ko khane me paka kar na khae pakane se zaitoon me moujood omega-3 nast hojata hai jisse aapko khane k fayde ki jagah nuksan hosakta hai issiliye jab bhi aap ,zaitoon k tel ka istemal kare isse khane par ya jis par bhi aapko isse use karna hai us par chidak kar istemaal kare.

Comments

Popular posts from this blog

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi Capsicum-(shimla mirch) ek aaisi sabzi jo dikhne me khoobsurat hone ke sath sath khane me swadist bhi hoti hai isse kai vyanjano me istemal kiya jata hai aur ye kai prakaar ki hoti hai choti badi sabhi prakar ki mool roop se शिमला मिर्च ki pehchan inhi gol aakar ki hai ye hazaro salo se sabziyon me istemal me aane wali sabzi hai jo mool roop se America ki paidavar hai lekin aaj ye dunya bhar me pai jati hai to aaiye jante hai iske fayde aur kuch nuksan ya jinhe isse nahi khana chahiye. Isme Vitamin-C. Vitamin-K. Vitamin-E. Vitamin-B6. Beta carotine. Folate. Lutein. Niacin. Riboflavin. Thiamine. Pantothenic acid. Zinc. Phosphorus. Calcium. Manganese. Iron. Magnitiam. Sodium. Potassium. Protein. Sugar. Fat. Dietary fiber. Carbohydrates. Energy. Water  Prachur matra me paya jata hai. Capsicum-(shimla mirch) ke fayde. 1): wazan kam kare. Capsicum-(shimla mirch ) hamare shareer me...

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन) fayde aur nuksan, Hindi mein

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन)  fayde aur nuksan, Hindi mein Lahsun,Garlic  har ghar me istemaal hone wali aam cheez hai iske bina shayad he koi sabzi banti ho ye ek swastwardhak aur aushadhi guno se bhar poor lahsun pyaz ki rishtedaar hai hindustan he nahi balki sari dunya me lahsun ka wibhin prakaar se wyanjano me istemal kiya jata hai iski sabse zyada kheti china me hoti hai mool roop se ye iran aur asia me sabse pehle ugaya gaya tha iska itihas bohot purana hai log isse aushadhi k roop me istemal karte thei aur aaj bhi kai aushadhiyon me iska istemaal hota hai. Isse kai prakaar se istemaal me liya jata hai paste k roop me powder k oil k roop me aur sauce k roop me. Lahsun, Garlic-benefits, (लहसुन) fayde. 1): dil k rogo k liye. Agar aap roz subah lahsun, Garlic  ka istemaal nihar pet kare kacha chaba kar to ye aapke khoon k bahaav ko saaf aur tez karke dil se judi sabhi bimariyo ko door karne me saksham hota hai. 2): dimaqi tention k liye....

Onion (pyaz) onion oil for hair fayde aur nuksan, Hindi mein

Onion (pyaz) onion oil  for hair  fayde aur nuksan, Hindi mein Onion (pyaz) ek aaisi sabzi hai jiske bina khane me maza he na aae na he tadka lage ye hamare pakwano me ye itni zaroori sabzi hai chahe aap isse kacha khae chahe sabzi me paka kar ya salad kay roop me khae ye har haal me aapki sehat kay liye faydemand he hai. Ye kai prakaar me milta hai lal colour, white colour, hare colour, aur iski patti wali nasal bhi Bazaro me pai jati hai to aaiye jaante hai iske fayde aur kuch nuksan isme. Vitamin-A. Vitamin-B6. vitamin-C. Potassium. Calcium. Diateryfiber. Sodium. Sugar. Cobalamin. Iron. Magnesium. Fat. Chromium. Paye jate hai. Onion (pyaz) ke fayde. 1): diabetes kay liye. Jinhe Diabetes jaisi samasya hai unhe pyaz ka sewan karna chahiye isme chromium paya jata hai jo sugar level ko control karta hai. 2): balo kay liye. Jinhe baal jhadne ki samasya hai unhe kacha onion oil   ka sewan karna chahiye sath he hafte me 2 bar on...