Skip to main content

cucumber, kheera, balam kheera- benefits aur nuksan, Hindi mein

cucumber, kheera, balam kheera- benefits aur nuksan, Hindi mein

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)


Cucumber, (keera) jiski taseer thandi hoti hai jo sari dunya me pae jane wali sabzi hai jo kai prakaar me milti hai isse khane k sath sath  beauty products aur dawaiya banane me bhi istemal kiya jata hai iske hamari twacha kay liye to kai fayde hai he iske sath he ye hamare shareer kay liye bhi kafi fayde mand hoti hai aaiye jaante hai iske fayde
  1. Isme 95.23% pani hota hai.
  2. Iron.
  3. Protein.
  4. Magnesium.
  5. Calcium.
  6. Manganese.
  7. vitamin-C.
  8. Vitamin-B6.
  9. Vitamin-K.
  10. Niacin.
  11. Potassium.
  12. Zinc.
  13. Fluoride.
  14. Sodium.
  15. Folate-B9.
  16. Protein.
  17. Energy.
  18. Fat.
  19. Diateryfiber.
  20. Sugar.
  21. Pantothenic-Acid.
  22. Riboflavin.
Pae jate hai.

Cucumber, (kheera) kay fayde.

1):aankho ki sujan.
Aankho kay aas pass jinko sujan ki shikayat ho wo chilka samet roz subah 1 cucumber, (kheera) khae isse unki sujan khatam hojaegi.

2): pet kay liye.
Roz subah ek खीरा khane se ye hamare pet ko saaf karta hai isme fiber prachur matra me paya jata hai jo pet saaf karne me madad karta hai.

3): cancer kay liye.
खीरा ka roz sewan karne se har khisam kay cancer k khatre ko door karne me madad karta hai isme pynorismol, cycoesole, lyrycrisnole, erycrysnole, paya jata hai jo cancer k khatre ko door karta hai.

4): diabetes kay liye.
Jinko diabetes hai unko roz subah खीरे kay juice ka sewan karna chahiye isse diabetes niyantrit rahti hai.

5): wazan ghatane kay liye.
Jinko wazan badhne ki samasya hai unhe bhi subah roz खीरा kay juice ka sewan karna chahiye taste k liye isme aap nimbu ka ras bhi mila sakte ho isse wazan kam hoga.

6): masik dharm me faydemand.
Ladkiyo ko masik dharm me kafi pareshaniya hoti hai to wo dahi me pudina milae isme खीरा ka ras aur isme hing, zeera, kala namak, kali mirch mila kar iska sewan karna chahiye.

7): Aankho kay liye.
Aksar face pack lagane kay baad aankho me jalan ki shikayat hoti hai iske liye खीरा ko slices me kaat kar aankho par lagae isse aankho ko kafi thandak milegi ye bhi zaruri nahi k aap face pack ki jalan hone par he isse lagae kisi bhi prakaar ki aankho me jalan hone par aap isse laga sakte hai.

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)


8): masudhe swasth rakhe.
खीरा  kay ek slice ko jeeb se muu kay upar aadha minute rakhe isme moujood choti chemical aapke muu se durgandh door karta hai masudho ko mazboot karta hai.

9): balo kay liye.
Roz खीरा aur gajar ka juice mila kar piye isse aapke baal kale ghane mazboot honge.

10): jodo kay liye.
Kheere me moujood prachur matra me silishine jodo ko mazboot karta hai aur tissue paraspar theek hota hai.

11): ulcer kay liye.
Jinko ulcer jaisi samasya ho unko roz ek खीरा  ka sewan karna chahiye isme moujood fiber pet saaf karke ulcer ko rokta hai.

12): chahre ki chamak badhae.
खीरे  kay tukdo ko chahre par face pack ki tarah lagae isme moujood prachur matra me pani aapki skin ko chamakdaar banata hai sath he jhurriyo ko kam karta hai dark spot ko khatam karta hai.

13): kabz kay liye.
Jinko kabz ki samasya ho unko bhi खीरे ka sewan karna chahiye isme moujood pani aur fiber pet ko saaf karta hai aur kabz ki samasya ko door karta hai.

Cucumber, (kheera) kay  nuksan.

1): cucumber, (kheera) ka niyamit istemal he kare wo bhi subah kay waqt raat kay waqt kheera khana nuksan dayak hota hai isliye sirf kheere ko subah he khae wo bhi 1 ya 2 isse zyada khane par pet ki samasya hosakti hai.

2): खीरे  me cocobirtimes namak toxin hota hai isliye aap jitna zyada isse kahege ye toxin utna aapke andar jaega jisse lever aur pitte me mutrashae me aur gurdo me sujan ka karand ban sakta hai.

3): खीरे me pani ki matra adhik hoti hai isliye agar aapko kaff sardi zuqaam ki samasya ho tab nahi khana chahiye.

4): खीरे  ka had se zyada istemal karne se bar bar urine aane ki samasya hosakti hai kyuki isme moujood pani iska karand hai.

Comments

Popular posts from this blog

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन) fayde aur nuksan, Hindi mein

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन)  fayde aur nuksan, Hindi mein Lahsun,Garlic  har ghar me istemaal hone wali aam cheez hai iske bina shayad he koi sabzi banti ho ye ek swastwardhak aur aushadhi guno se bhar poor lahsun pyaz ki rishtedaar hai hindustan he nahi balki sari dunya me lahsun ka wibhin prakaar se wyanjano me istemal kiya jata hai iski sabse zyada kheti china me hoti hai mool roop se ye iran aur asia me sabse pehle ugaya gaya tha iska itihas bohot purana hai log isse aushadhi k roop me istemal karte thei aur aaj bhi kai aushadhiyon me iska istemaal hota hai. Isse kai prakaar se istemaal me liya jata hai paste k roop me powder k oil k roop me aur sauce k roop me. Lahsun, Garlic-benefits, (लहसुन) fayde. 1): dil k rogo k liye. Agar aap roz subah lahsun, Garlic  ka istemaal nihar pet kare kacha chaba kar to ye aapke khoon k bahaav ko saaf aur tez karke dil se judi sabhi bimariyo ko door karne me saksham hota hai. 2): dimaqi tention k liye. Agar aap roz sub

Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice, healthiest fruits- benefit, Hindi mein

Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice, healthiest fruits- benefit, Hindi mein  Watermelon, Tarbooj-  Ek aaisa phal jiske bare me har koi jaanta hai ye phal zyada tar garmiyo me zyada tadaad me milta hai. Meetha dekhne me khoobsurat jab hum isse garmiyo me khate hai to taro taza hojate hai isme 76% pani hota hai tarbuz me vItaminq-A, vitamin-B, vitamin-C protien, phosphorus, carbohydrate, potacium, iron, aur magnesium, paya jata ha. lekin kya aapko pata hai ye phal swadist thanda hone k sath sath hamare liye kai faide bhi apne andar rakhta hai. Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice benefits . 1): doctors k mutabik तरबूज garmiyo me hamare body me pani ki matra badhata hai. Sath he garmi se  thandak pohchata hai aap isse aaise he kacha khae ya Watermelon juice bana kar piye ye har haal me aapke shareer me pani ki matra ko badhata hai. 2): bhook Na lagti ho . तरबूज hamari pachan shakti badhata hai. Ulti jaisa mahsoos ho bhook Na lagti ho man ghabrata ho to khane

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi Capsicum-(shimla mirch) ek aaisi sabzi jo dikhne me khoobsurat hone ke sath sath khane me swadist bhi hoti hai isse kai vyanjano me istemal kiya jata hai aur ye kai prakaar ki hoti hai choti badi sabhi prakar ki mool roop se शिमला मिर्च ki pehchan inhi gol aakar ki hai ye hazaro salo se sabziyon me istemal me aane wali sabzi hai jo mool roop se America ki paidavar hai lekin aaj ye dunya bhar me pai jati hai to aaiye jante hai iske fayde aur kuch nuksan ya jinhe isse nahi khana chahiye. Isme Vitamin-C. Vitamin-K. Vitamin-E. Vitamin-B6. Beta carotine. Folate. Lutein. Niacin. Riboflavin. Thiamine. Pantothenic acid. Zinc. Phosphorus. Calcium. Manganese. Iron. Magnitiam. Sodium. Potassium. Protein. Sugar. Fat. Dietary fiber. Carbohydrates. Energy. Water  Prachur matra me paya jata hai. Capsicum-(shimla mirch) ke fayde. 1): wazan kam kare. Capsicum-(shimla mirch ) hamare shareer me mou