Lady finger- Bhindi, भिंडी- benefits, Hindi mein
Lady finger- Bhindi ek aisi sabzi jo lagbhag har kisiki pasandida sabzi hai bohot kam log hoge jo isse pasand na karte ho Europe k desho me mahila k ungli k naam se mashoor ye sabzi dunya bhar me pai jati hai jo is sabzi ko pasand nahi karte wo is sabzi k fayde jaan kar hairan hojaege aur jo khate hai wo aur zyada istemal karne lag jaege to aaiye dekhte hai iske fayde aur kin logo ko ye sabzi nahi khana chahiye.
Is sabzi me prachur matra me.
- Protein.
- vitamin-C.
- Vitamin-A.
- Vitamin-B.
- Fiber.
- Vitamin-K.
- Iron.
Lady finger- Bhindi benefits.
1): digestive system.
भिंडी me moujood fiber hamare pet me moujood har qisam k vishaile padaarth ko nikaal kar dast, pet me dard, ko theek karke hamare digestive system ko theek karta hai.
2): pregnancy me.
Jo mahilae pregnent hai unko roz niyamit matra me भिंडी khana chahiye kyuki in mahilao ko pet dard aur gas ki pareshani rahti hai isliye Dr aaise mahilao ko bhindi ki khane ki salah dete hai.
3): haddiyon ko mazboot kare.
Bhindi me moujood prachur matra me vitamin-K haddiyon ko mazboot karta hai iske ilawa bhindi me lasila padarth paya jata hai jo joints k beech hone wale moisture ko badhata hai.
4): cholesterol k liye.
भिंडी ka niyamit istemal hamare good cholesterol ko badhata hai aur bad cholesterol ko kam karta hai jisse dil se judi kai samasyao se chutkara milta hai.
5): khoon ko saaf kare.
भिंडी me moujood iron hamare jism me himoglobin ko badhata hai jo hame anymiya se bachata hai aur khoon saaf karta hai.
6): kamzori ko door kare.
Bhindi ka niyamit istemal se jodo k dard kamar k dard ko door karta hai.
7): diabetes k liye.
Kai sare researches se pata chala hai k lady finger- Bhindi k pani ka roz subah istemal karne se khoon k andar Glucose level ko badhne nahi deta jisse diabetes kam hone lagta hai agar kisiko nahi hai diabetes to unhe bhi uske khatre se bachata hai.
8): viray ko badhae.
भिंडी ka pani roz subah piye isse viray me badhat hoti hai sath he viray jinka patla hai ye pani usse gaadha karta hai aur sambhog ka waqt badhane me madad karta hai.
9): asthma k liye.
Kai adhyano se pata chala hai ki भिंडी ka roz niyamit roop me istemaal karne se phepdo ki nali ko saaf karke asthma ko door karta hai.
10.): Blood cancer k liye.
Bhindi me moujood fiber phepdo ki nali ko saaf karke khoon ko bhi saaf karta hai jisse blood cancer se ladne me madad milti hai.
11): kabz k liye.
Kabz ki pareshani hamare bhojan me aasthir khane se hoti hai भिंडी pet ki gandgi ko door karke kabz jaisi samasya ko door karti hai.
12): ulcer k liye.
भिंडी me kai sare gunnd hote hai jo pet ko saaf karke ulcer ko kam karti hai.
Lady finger- Bhindi kinhe nahi khana chahiya aur iske nuksan.
1): jinko piddi ya gurde ki pathri hai (kidney stone) wo भिंडी ka sewan na kare kyuki bhindi me ogylate paya jata hai jo gurde ki ya piddi ki pathri ko badhata hai.
2): tali (fry) huwi lady finger- Bhindi aapka motapa badha sakti hai issiliye ya to bhindi sabziyon k sath paka kar khae ya subah iska pani piye.
3): bhindi aur muli milakar na khae ya bhindi khane k fouran baad he muli ki sabzi na khae isse pet se judi bimariya hosakti hai ya jism par safed dhabbe hosakte hai.
4): भिंडी me toxilic-acid hota hai to bhindi ka zarurat se zyada istemal pet ki samasya ko badha sakta hai isliye bhindi ka niyamit istemal he kare.
भिंडी ka pani banane ka tariqa.
Raat ko 2-3 bhindi ek glass pani me bhigone chodd de subah us bhindi ko ussi pani me nichod le phir iske baad ek chalni le kar wo pani chaan le dhyan rahe chalni bareek nahi honi chahiye warna bhindi ki nase chalni me he rah jaegi thodi moti chalni le kar chaan le uske baad us aadhe glass pani me aadha glass pani mila le ab ye ek glass pani ban gaya ab ye pani roz piye to isse aapko bhindi k pani se judi jitne bhi fayde hai sab milenge.
Comments
Post a Comment