Skip to main content

Apple, सेब, seb- healthiest fruits- Apple juice, benefit Hindi mein

Apple, सेब, seb- healthiest fruits- Apple juice, benefit Hindi mein

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)

Apple, सेब- ek khoobsurat aur healtheist fruit hai Jo dunya bhar me sabse zyada khaya Jane wala phal hai Jo har umar k logo ka pasandida aur faide mand hota hai.
Isme vitamins, mineral, fiber, calories, hoti hai aur anti oxident hota hai Jo aapke shareer k liye kafi laabdayak hota hai. Aap isse khali bhi kha sakte ho ya iska juice bana kar pisakte ho ya phir fruit chat me Mila kar kha sakte ho har Surat seb hamara liye faide mand hai.
Rozana nihar pet khali pet sirf ek seb khane k kai faide hai jinhe jaan kar aap dang rah jaoge to aaiye jaante hai nihar pet seb khane k kitne aur kya kya faide hai.

  1. Vitamin-A.          /Vitamin-B6.
  2. Vitamin-C.          /Vitamin-D.
  3. Dietary fiber.       /Sugar.
  4. Potasium.            /Carbohydrate.
  5. Calsium.              /Magnesium.
  6. Iron.                    /Cobalamin.
  7.  And Polyunsaturated fa

Apple, सेब, Apple juice- benefits.

1): asthma k marizo k liye seb khana faide mand hota hai Roz ek seb subah nihar pet khaiye lekin dhyan rahe aapko raat me seb bilkul nahi khana Jo asthma k mareez hai.

2): cholesterol ko kam karta hai jinko cholesterol ki problem hai wo Roz seb khae ya Apple juice piye kyuki isme pactin LDL hota hai Jo bad cholesterol kam karne me madad karta hai.

3): jinke sar me hamesha dard rahta hai ya zyada tar unhe dard ki shikayat rahti ho wo Roz khana khane se pehle seb khae isse sar dard theek karne me madad multi hai.

4): Jo log diabetes k shikaar hai unke liye bhi ek simit matra me seb ka sewan karna faide mand hota hai kyuki seb carbohydrates aur pachan kriya ko prabhavit karta hai is liye ek simit matra me diabetes k mareez seb ka sewan karne laabh utha sakte hai.

5): Jin logo ko kabz ki pareshani hai unke liye seb kafi faide mand hai ye kabz ko door karta hai.

6): Roz subah ek seb khane walo k liye cancer jaisi ghatak bimari se bhi door rakhta hai.

7): badhti umar k prabhaav nahi padhege agar aap seb ya Apple juice ka sewan Roz karte ho to jinko badhti umar k karand bhoolne ki pareshani hoti rahti hai unke liye is phal ko khana faide mand hai.

8): Apple, सेब- pet ki bimariyo se bhi bachata hai 2 seb ko mila kar uska Apple juice bana le isse  Roz pine se pet me kide paida nahi hote sath he isse pet me gas nahi banti ye gas ko khatam karta hai.

9): chahre par chamak lata hai Jo log apne chahre ko chamakdaar banana chahate hai wo Roz subah ek seb khae ek mahine take uske baad farak aapke samne hoga.

10): ek glass Apple juice me misri Mila kar piye isse aapko jitni purani se purani khansi hogi khatam hojaegi.

11): seb daanto ki pareshaniyo ko bhi door karne me saksham hota hai iska niyamit istemal aapke muu aur daanto ki pareshaniyo ko door kardegi.

12): Jin logo ko hriday rog hota hai unke liye seb bohot zyada fayde mand hota hai rozana seb khane se dil ko taqat multi hai.

13): jinko shareer par jagah jagah sujan hojati hai unke liye. Seb faide mand hai.

14): seb me aaisa vitamins mineral par jate hai jisse pet ki aanto ko faida milta hai seb hamara digestive system acha rakhta hai issiliye Roz सेब ka khana pet ki aanto k liye aur doosri pareshaniyo k liye bohot laabdayak hota hai.

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)

Apple, सेब- kin logo ko nahi khana chahiye.

1): Apple, सेब- me sugar ki matra zyada hoti hai is liye jinko diabetes hai wo isse bina doctor ki salah k hargiz Na khae aur subah nihar pet to bilkul Na khae kyuki isme moujood sugar aapki sugar level ko kafi matra me badha degi

2): seb khane k baad ya Apple juice pine k baad ek ghante tak pani Na piye kyuki isse shareer me kaff banta hai issiliye aap jab bhi seb khae uske fouran baad pani Na piye.

3): jinko asthma ki problem ho wo seb sirf subah khae raat ko wo log isse hargiz Na khae.

4): Apple, सेब- khane k fouran baad muli Na khae isse shareer par safed (white) dhabbe hosakte hai.

5): seb khane k fouri baad khatta Na khae jaise dahi, achar, imli, churan, waqera isse shareer me gas banjati hai.

Comments

Popular posts from this blog

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi Capsicum-(shimla mirch) ek aaisi sabzi jo dikhne me khoobsurat hone ke sath sath khane me swadist bhi hoti hai isse kai vyanjano me istemal kiya jata hai aur ye kai prakaar ki hoti hai choti badi sabhi prakar ki mool roop se शिमला मिर्च ki pehchan inhi gol aakar ki hai ye hazaro salo se sabziyon me istemal me aane wali sabzi hai jo mool roop se America ki paidavar hai lekin aaj ye dunya bhar me pai jati hai to aaiye jante hai iske fayde aur kuch nuksan ya jinhe isse nahi khana chahiye. Isme Vitamin-C. Vitamin-K. Vitamin-E. Vitamin-B6. Beta carotine. Folate. Lutein. Niacin. Riboflavin. Thiamine. Pantothenic acid. Zinc. Phosphorus. Calcium. Manganese. Iron. Magnitiam. Sodium. Potassium. Protein. Sugar. Fat. Dietary fiber. Carbohydrates. Energy. Water  Prachur matra me paya jata hai. Capsicum-(shimla mirch) ke fayde. 1): wazan kam kare. Capsicum-(shimla mirch ) hamare shareer me...

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन) fayde aur nuksan, Hindi mein

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन)  fayde aur nuksan, Hindi mein Lahsun,Garlic  har ghar me istemaal hone wali aam cheez hai iske bina shayad he koi sabzi banti ho ye ek swastwardhak aur aushadhi guno se bhar poor lahsun pyaz ki rishtedaar hai hindustan he nahi balki sari dunya me lahsun ka wibhin prakaar se wyanjano me istemal kiya jata hai iski sabse zyada kheti china me hoti hai mool roop se ye iran aur asia me sabse pehle ugaya gaya tha iska itihas bohot purana hai log isse aushadhi k roop me istemal karte thei aur aaj bhi kai aushadhiyon me iska istemaal hota hai. Isse kai prakaar se istemaal me liya jata hai paste k roop me powder k oil k roop me aur sauce k roop me. Lahsun, Garlic-benefits, (लहसुन) fayde. 1): dil k rogo k liye. Agar aap roz subah lahsun, Garlic  ka istemaal nihar pet kare kacha chaba kar to ye aapke khoon k bahaav ko saaf aur tez karke dil se judi sabhi bimariyo ko door karne me saksham hota hai. 2): dimaqi tention k liye....

Onion (pyaz) onion oil for hair fayde aur nuksan, Hindi mein

Onion (pyaz) onion oil  for hair  fayde aur nuksan, Hindi mein Onion (pyaz) ek aaisi sabzi hai jiske bina khane me maza he na aae na he tadka lage ye hamare pakwano me ye itni zaroori sabzi hai chahe aap isse kacha khae chahe sabzi me paka kar ya salad kay roop me khae ye har haal me aapki sehat kay liye faydemand he hai. Ye kai prakaar me milta hai lal colour, white colour, hare colour, aur iski patti wali nasal bhi Bazaro me pai jati hai to aaiye jaante hai iske fayde aur kuch nuksan isme. Vitamin-A. Vitamin-B6. vitamin-C. Potassium. Calcium. Diateryfiber. Sodium. Sugar. Cobalamin. Iron. Magnesium. Fat. Chromium. Paye jate hai. Onion (pyaz) ke fayde. 1): diabetes kay liye. Jinhe Diabetes jaisi samasya hai unhe pyaz ka sewan karna chahiye isme chromium paya jata hai jo sugar level ko control karta hai. 2): balo kay liye. Jinhe baal jhadne ki samasya hai unhe kacha onion oil   ka sewan karna chahiye sath he hafte me 2 bar on...