Skip to main content

Mushroom, (मशरुम)- fungus, fungi- benefits, Hindi mein

Mushroom, (मशरुम)- fungus, fungi- benefits, Hindi mein

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)

Mushroom (मशरुम)- kai prakaar k hote hai rang me alag inme se kuch khana layak hote hai to kuch zahrile jo insan nahi kha sakta to kuch ko dawai banane k istemaal me liya jata hai. 
Chote bade vibhin prakaar k dikhne wale ye mushroom hamare Hindustan me bohot kam he logpriya hai isse bohot sare log anjaan hai lekin iska istemaal Europe, china, japan aur korea me khane pakane me bade paimane par kiya jata hai isme prachur matra me vitamins minerals pae jate hai jo hamare jism k liye kafi laabdayak hote hai.

Sodium, calcium, carbohydrates, Vitamin-B6, Thiamine-b1, vitamin-D, vitamin-C, potassium, zinc, iron, magnitiam, folate, Pantothenic-Acid, manganese, copper, Riboflavin, fat, selenium, aur Energy prachur matra me pae jate hai.

Mushroom (मशरुम)- fungus, fungi-benefits

1): haddiyon ko mazboot kare.
मशरूम me vitamin-D prachur matra me paya jata hai jo hamare haddiyon ko mazboot karne me madad karta hai iska roz niyamit isme hamare body ki zarurat k liye Vitamin-D ka 20% sirf issi me mil jata hai.

2): Himoglobin badhae.
Fungus ka niyamit istemal se aapke jism ka Himoglobin ko niyantrit karta hai jisse aapke jism me khoon badhta hai isme  folic acid hota hai jo sirf mansahari pradharto me paya jata hai isliye agar aap shaka hari hai to is sabzi ka niyamit sewan aapko zaroor karna chahiye.

3): Diabetes k liye.
Jo Diabetes se pareshaan hai unko fungi zaroor khana chahiye kyuki is me sugar nahi hoti isme minerals, fiber, aur vitamins hote hai jo jism me insulin ko banata hai jisse Diabetes kam karne me madad milti hai.

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)


4): Dil ki bimariyo k liye.
Fungus pae jane enximes hamare Dil se judi sabhi prakaar ki bimariyo se ladne me madad karte hai.

5): cancer k liye.
Ek shrod se pata chala hai k Fungi ka  niyamit istemaal jism me panap rahe cancer k cells ko nasth karta hai aur jinko cancer nahi hai unme cancer panap ne nahi deta.

6): skin k liye.
Fungus niyamit roz istemaal karne se skin chamakdaar hojati hai isse Anti-oxident aur natural moisturizer k roop me dekha jata hai jo badhti umar me chahre par padhne wale jhurriyo ko kam karta hai aur qudrati gora pan lane me madadgaar hai.

7): wazan ko niyantrit kare.
Fungi fiber, vitamins, fat, hota hai jo metabolism ko niyantrit karta hai jisse wazan kam karne me madad karta hai.

Mushroom (मशरुम)- kin logo ko nahi khana chahiye.

1): mushroom (मशरुम)- ko zyada matra me nahi khana chahiye isse Allergy hosakti hai agar aap isko khana shuru kar rahe ho to thode se din bhar me 50 gram se shuru kare dhire dhire baad me badha sakte hai.

2): garbhwati mahilae aur chote bache iska sewan bilkul na kare isse aapko pareshani hosakti hai.

3): mushroom me kuch qisme zahrili bhi hoti hai usse hargiz na khae isse aapko ulti aana, matli hona, behoshi chana, Aaitan waqera hosakti hai agar aapko aaisa mahsoos ho to turant Dr se sampark kare.

Har fruits aur sabzi ki tarah is k bhi kai laabdayak fayde hai bus aapko isse bhi niyamit roop se he istemal karna hai.

Comments

Popular posts from this blog

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन) fayde aur nuksan, Hindi mein

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन)  fayde aur nuksan, Hindi mein Lahsun,Garlic  har ghar me istemaal hone wali aam cheez hai iske bina shayad he koi sabzi banti ho ye ek swastwardhak aur aushadhi guno se bhar poor lahsun pyaz ki rishtedaar hai hindustan he nahi balki sari dunya me lahsun ka wibhin prakaar se wyanjano me istemal kiya jata hai iski sabse zyada kheti china me hoti hai mool roop se ye iran aur asia me sabse pehle ugaya gaya tha iska itihas bohot purana hai log isse aushadhi k roop me istemal karte thei aur aaj bhi kai aushadhiyon me iska istemaal hota hai. Isse kai prakaar se istemaal me liya jata hai paste k roop me powder k oil k roop me aur sauce k roop me. Lahsun, Garlic-benefits, (लहसुन) fayde. 1): dil k rogo k liye. Agar aap roz subah lahsun, Garlic  ka istemaal nihar pet kare kacha chaba kar to ye aapke khoon k bahaav ko saaf aur tez karke dil se judi sabhi bimariyo ko door karne me saksham hota hai. 2): dimaqi tention k liye. Agar aap roz sub

Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice, healthiest fruits- benefit, Hindi mein

Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice, healthiest fruits- benefit, Hindi mein  Watermelon, Tarbooj-  Ek aaisa phal jiske bare me har koi jaanta hai ye phal zyada tar garmiyo me zyada tadaad me milta hai. Meetha dekhne me khoobsurat jab hum isse garmiyo me khate hai to taro taza hojate hai isme 76% pani hota hai tarbuz me vItaminq-A, vitamin-B, vitamin-C protien, phosphorus, carbohydrate, potacium, iron, aur magnesium, paya jata ha. lekin kya aapko pata hai ye phal swadist thanda hone k sath sath hamare liye kai faide bhi apne andar rakhta hai. Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice benefits . 1): doctors k mutabik तरबूज garmiyo me hamare body me pani ki matra badhata hai. Sath he garmi se  thandak pohchata hai aap isse aaise he kacha khae ya Watermelon juice bana kar piye ye har haal me aapke shareer me pani ki matra ko badhata hai. 2): bhook Na lagti ho . तरबूज hamari pachan shakti badhata hai. Ulti jaisa mahsoos ho bhook Na lagti ho man ghabrata ho to khane

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi Capsicum-(shimla mirch) ek aaisi sabzi jo dikhne me khoobsurat hone ke sath sath khane me swadist bhi hoti hai isse kai vyanjano me istemal kiya jata hai aur ye kai prakaar ki hoti hai choti badi sabhi prakar ki mool roop se शिमला मिर्च ki pehchan inhi gol aakar ki hai ye hazaro salo se sabziyon me istemal me aane wali sabzi hai jo mool roop se America ki paidavar hai lekin aaj ye dunya bhar me pai jati hai to aaiye jante hai iske fayde aur kuch nuksan ya jinhe isse nahi khana chahiye. Isme Vitamin-C. Vitamin-K. Vitamin-E. Vitamin-B6. Beta carotine. Folate. Lutein. Niacin. Riboflavin. Thiamine. Pantothenic acid. Zinc. Phosphorus. Calcium. Manganese. Iron. Magnitiam. Sodium. Potassium. Protein. Sugar. Fat. Dietary fiber. Carbohydrates. Energy. Water  Prachur matra me paya jata hai. Capsicum-(shimla mirch) ke fayde. 1): wazan kam kare. Capsicum-(shimla mirch ) hamare shareer me mou