Skip to main content

strawberry, स्ट्रॉबेरी- healthiest fruits, strawberry juice benefits, Hindi mein

strawberry, स्ट्रॉबेरी- healthiest fruits, strawberry juice benefits, Hindi mein

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)

Strawberry, स्ट्राबेरी- Ek aaisa phal jise dekh kar he muu me pani aajae rasila phal Jo dekhne me khoobsurat hota hai. Iski sugandh manmohak hoti hai.
Lekin ye phal sirf sardiyo me he hame khane ko milta hai isliye is ko sardiyo me jitna hosake utna khaiye.
Ye phal mazedaar hone k sath sath hamare liye faide mand bhi hai.
  1. Ye phal anti-aging ka kaam karta hai.
  2. Hamari pachan shakti ko badhata hai.
  3. Anti-cancer hota hai.
  4. Blood pressure ko samaanya karta hai.
  5. Anti-viral hota hai.
  6. Anti-bacterial hota hai.

Strawberry, स्ट्राबेरी- strawberry juice benefits.

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)

1): strawberry, स्ट्राबेरी- me potassium, magnesium, aur vitamin-k paya jata hai Jo haddiyo ko mazboot karta hai.

2): keel muhaso ko door karta hai isse aaisa he khae ya doodh me Mila kar paste banae phir chahre par mask ki tarah lagae isse keel muhase door hojaege.

3): स्ट्राब्ररी dil k rogo se ladne ki shakti hoti hai isme flawalute paya jata hai Jo dil k rogo se ladne me madad karta hai.

4): kale hotho ko gulabi banana hai isse aaisa he apne hotho (lips) par rub kare ya iska paste bana kar lagae.

5): ye vitamin-c se bhara hota hai Jo hamari pachan shakti badhata hai jiski wajah se aap kai rogo se Bach sakte hai.

6): isme folare hota hai Jo hamare khoon ko saaf karne me madad karta hai.

7): isme moujood vitamin-c  suraj ki roshni se hamari aankho par padne wali rays ko kam karke hamari aankho ko bachata hai to strawberry juice piye roz aadha glass ya iska aaise he sewan kare

8): strawberry, स्ट्राबेरी- me acid hota hai Jo  daanto (teeth) ko saaf karta hai  isse aap kaat kar apne daanto par ragde isse daanto ka pila pan door hota hai sath he masudhe mazboot hote hai.

9): ye cancer k kai prakar ke karando se ladne me bhi madad karta hai isme fole, vitamin-c, flaond oil, hote hai Jo cancer se ladne me madad karte hai to niyamit roop me aap strawberry juice ya iska kacha sewan kare ye aapke liye faydemand hoga

10): isme magnesium aur potassium hota hai Jo blood pressure ko control me rakhta hai.

11): isme potassium hota hai Jo dil k rogo se ladne me madad karta hai.

12): isse sugar patient bhi kha sakte hai kyuki isme sugar nahi hoti.

13): strawberry juice ka sewan Roz niyamit roop se kare sath he aap Strawberry ko kacha bhi khae isme fito chemical aur anti-oxident hote hai Jo joints pain ko kam kardeta hai.

Strawberry, स्ट्रॉबेरी- ke kuch nuksan.

1): Isme fiber prachur matra me paya jata hai isliye iska niyamit he sewan kare zyada khane par aapko kabz pet kharab hone ki samasya hosakti hai.

Strawberry, स्ट्रॉबेरी- ka zyada matra me istemal karne se aanto se judi pareshani bhi hosakti hai isme fiber ki matra zyada hone ki wajah se ye khatra hota hai isliye din bhar me 2 ya 3 he piece khae.

3): iska zyada ya aniyamit istemal karne se aapko dairiya, gas ka banna, aur susti jaisi pareshaniyo ka samna karna pad sakta hai.

Dosto ye thie स्ट्रॉबेरी ke kuch faide aur kuch nuksan aap isse aaise he khae ya milk shake bana kar liye ya iska juice piye ye phal har Surat me aapke liye laabdayak hota hai.

Comments

Popular posts from this blog

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन) fayde aur nuksan, Hindi mein

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन)  fayde aur nuksan, Hindi mein Lahsun,Garlic  har ghar me istemaal hone wali aam cheez hai iske bina shayad he koi sabzi banti ho ye ek swastwardhak aur aushadhi guno se bhar poor lahsun pyaz ki rishtedaar hai hindustan he nahi balki sari dunya me lahsun ka wibhin prakaar se wyanjano me istemal kiya jata hai iski sabse zyada kheti china me hoti hai mool roop se ye iran aur asia me sabse pehle ugaya gaya tha iska itihas bohot purana hai log isse aushadhi k roop me istemal karte thei aur aaj bhi kai aushadhiyon me iska istemaal hota hai. Isse kai prakaar se istemaal me liya jata hai paste k roop me powder k oil k roop me aur sauce k roop me. Lahsun, Garlic-benefits, (लहसुन) fayde. 1): dil k rogo k liye. Agar aap roz subah lahsun, Garlic  ka istemaal nihar pet kare kacha chaba kar to ye aapke khoon k bahaav ko saaf aur tez karke dil se judi sabhi bimariyo ko door karne me saksham hota hai. 2): dimaqi tention k liye. Agar aap roz sub

Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice, healthiest fruits- benefit, Hindi mein

Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice, healthiest fruits- benefit, Hindi mein  Watermelon, Tarbooj-  Ek aaisa phal jiske bare me har koi jaanta hai ye phal zyada tar garmiyo me zyada tadaad me milta hai. Meetha dekhne me khoobsurat jab hum isse garmiyo me khate hai to taro taza hojate hai isme 76% pani hota hai tarbuz me vItaminq-A, vitamin-B, vitamin-C protien, phosphorus, carbohydrate, potacium, iron, aur magnesium, paya jata ha. lekin kya aapko pata hai ye phal swadist thanda hone k sath sath hamare liye kai faide bhi apne andar rakhta hai. Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice benefits . 1): doctors k mutabik तरबूज garmiyo me hamare body me pani ki matra badhata hai. Sath he garmi se  thandak pohchata hai aap isse aaise he kacha khae ya Watermelon juice bana kar piye ye har haal me aapke shareer me pani ki matra ko badhata hai. 2): bhook Na lagti ho . तरबूज hamari pachan shakti badhata hai. Ulti jaisa mahsoos ho bhook Na lagti ho man ghabrata ho to khane

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi Capsicum-(shimla mirch) ek aaisi sabzi jo dikhne me khoobsurat hone ke sath sath khane me swadist bhi hoti hai isse kai vyanjano me istemal kiya jata hai aur ye kai prakaar ki hoti hai choti badi sabhi prakar ki mool roop se शिमला मिर्च ki pehchan inhi gol aakar ki hai ye hazaro salo se sabziyon me istemal me aane wali sabzi hai jo mool roop se America ki paidavar hai lekin aaj ye dunya bhar me pai jati hai to aaiye jante hai iske fayde aur kuch nuksan ya jinhe isse nahi khana chahiye. Isme Vitamin-C. Vitamin-K. Vitamin-E. Vitamin-B6. Beta carotine. Folate. Lutein. Niacin. Riboflavin. Thiamine. Pantothenic acid. Zinc. Phosphorus. Calcium. Manganese. Iron. Magnitiam. Sodium. Potassium. Protein. Sugar. Fat. Dietary fiber. Carbohydrates. Energy. Water  Prachur matra me paya jata hai. Capsicum-(shimla mirch) ke fayde. 1): wazan kam kare. Capsicum-(shimla mirch ) hamare shareer me mou