Orange- santra, healthiest fruits- orange juice benefit, Hindi mein
Orange- santra ek healthiest fruits hai jise narangi bhi kaha jata hai is phal me itna vitamin-c hota k shayad he kisi aur phal me hame mile. Jo har umar k logo ko chahe wo bacho ho ya bade ya budhe sabko pasand aata hai isse kuch log khatta khana pasand karte hai to kuch meetha kuch logo ko iska khatta flavor acha nahi lagta to kuch ko bohot acha. Is phal ki taseer thandi hoti hai isse kai bimariyo k upchar me kaam me laya jata hai.baher haal Jo bhi santra hamare bazaro me aasani se Milne wala phal hai Jo sasta bhi hota hai.
- संतरा vitamins aur minerals se bhar poor hota hai.
- Isme fiber bharpoor matra me hota hai.
- Ye infection se ladne me madad karta hai.
- Ye hamare cardiovascular system ki raksha karta hai.
- Ye hamari kidney ko rogo se bachata hai.
- Khoon saaf karta hai.
- Hamari skin ko saaf rakhta hai.
- Blood pressure ko samaanya karta hai.
- Infection se ladta hai.
- Wazan kam karta hai.
Orange- santra, benefits
Jinko khoon ki kami ki shikayat rahti hai wo संतरा ko Roz khae isme himoglobin hota hai Jo khoon ko badhne me madad karta hai.
2): jinko tiphot hota hai unhe orange juice doodh me Mila kar pilae isse ye tiphot ka buqaar (fever) bohot jald theek hojata hai.
3): jin bacho ko dast hojate hai unhe orange juice me Kali mirch Mila kar pilae isse dast ki pareshani door hojaegi. Iske ilawa bado ko santra khane aur iska juice pine se pachan tatv theek rahta hai aur gas ki pareshani se mukti milti hai.
4): garbvati mahilao k liye orange, santra bohot he laabdayak hota hai isme moujood vitamin-c body ko urja pradaan karta hai isse hone wala bacha tandurust paida hota hai.
5): jinko ulcer hai wo log zaroor Roz संतरा ko khae ye phal pet ki sabhi samasiyao ko door karta hai chahe pet me kitne bhi ghav ho.
6): jinko saans ki pareshani hoti ho ya damma ho unhe Roz 2 glass orange juice ya aaise he khali khae ya juice zaroor pina chahiye isse saans se sambandhit sabhi bimari door hoti hai.
7): Khoobsurti badhane k liye संतरा k chilko ko dhoop me sukha le phir iska powder bana le is powder me thoda sa kacha doodh Mila kar chahre par laga le phir aadhe ghante baad chahra dho le kuch he Dino me aap dekhege aapki twocha narm mulayam aur chamak daar hona shuru hojaegi.
8): zukhaam khansi sukhi khansi hone walo ko Roz संतरा ka sewan karna chahiye isse zukhaam khansi waqera door hojati hai.
9): isme vitamin-c aur vitamin-A hota hai Jo hamare daanto aur haddiyo ko mazboot banata hai.
10): संतरा liver, breast cancer, aur dil k rogo k liye kafi faide mand hota hai isme moujood vitamin-c, fiber, potassium, choline hamare dil se sambandhit sabhi bimariyo ko door karta hai.
Orange, santra- kinhe nahi khana chahiye.
1): Orange, santra- me fiber zyada matra me hota hai Jo pachan kriya ko nuksaan pohcha sakta hai isliye zyada santra nahi khana chahiye din me sirf 2.
2): Jin logo ko acidity ki problem hamesha rahti hai unhe bhi संतरा nahi khana chahiye kyuki isme ascorbic acid hota hai Jo acidity ko aur badha sakta hai.
3): jinhe joint pain rahta hai unhe bhi संतरा nahi khana chahiye kyuki santre ki taseer thandi hoti hai isliye ye joint pain ko aur badha sakta hai.
4): heart patient ko संतरा nahi khana chahiye kyuki inke volve block hote hai aur santra volve ko aur block kar sakta hai.
5): pregnant women apne shuruwati 4_5 mahino me he santra khae aakhri k 8_9 mahino me hargiz Na khae kyuki संतरा ki taseer thandi hone k karand ye nuksaan pohcha sakta hai.
Nice Blog, thank you.
ReplyDeleteOdia Wishes
Odia Festival Wishes
Odia New Year Wishes Image