Pea, (मटर)- matar, vegetables- benefits, Aur Nuksan, Hindi mein
Pea- (मटर) hare rang ka ek chota sa beenj jo gol aakar ka hota hai khane me swadist lagbhag har ghar me banne wali aam sabziyon me istemal hone wali cheez hai ye ek phali k beenj hai bhojan me matar ki moujoodgi aapi ruchi ko aur badha deti hai lekin ye ek swadist sabzi he nahi isme hamare fayde k kai proteins vitamins bhi moujood hai aaiye jaante hai aapki pasandida sazbi k fayde.
- Isme. zinc,
- Iron.
- Protein.
- vitamin-C.
- Vitamin-A.
- Vitamin-K.
- Vitamin-B6.
- Copper.
- Lutein.
- Fiber.
Pea- (मटर) matar Benefits.
1): diabetes k liye.
pea- (मटर) me uch fiber aur protein hota hai jo sugar ko control karne me madad karta hai jisse diabetes ka khatra kam hojata hai.
2): jali twacha k liye.
Matar k beenjo ko pees kar iska paste jali huwi jagah par lagae isse jali huwi twacha jald theek hojaegi.
3): pet ka cancer.
Jinhe pet ka kisi bhi prakar ka cancer ho wo matar ka roz niyamit istemaal kare isse unke cancer me fark dikhna shuru hojaega.
4): weight loss k liye.
Matar me fiber uch matra me hota hai sath he fat aur calories kam hoti hai. Jo wazan kam karta hai.
5): skin k liye.
Matar k dano ko pani me ubaal kar isse pees le phir iska paste chahre par 15-20 minute lagae iske baad dho le isse aapki skin chamakdaar hojaegi.
6): balo k liye.
Matar me folic acid, vitamin-B6, vitamin-B12 moujood lal rakt koshikaon ko badhne me madad karti hai jisse oxygen sar tak pohochta hai isse balo ko mazbooti milti hai aur baal badhne me madad milti hai ye jhadte balo ko rokne k liye bhi laabhkari hai.
7):haddiyon k liye.
मटर me prachur matra me moujood vitamin-K haddiyon ko mazboot karta hai jinko haddiyon se judi jo bhi pareshani ho wo Roz matar ka niyamit istemaal kare.
8): cholesterol kam kare.
Matar me moujood swasth vardhak gunn cholesterol ko kam karne me madad karte hai sath he shareer trycesaride k level ko badhne nahi deta.
9): mahilao ko doodh kam aata ho.
Jin mahilao ko doodh kam aane ki shikayat ho wo Roz matar ka niyamit istemal kare isse doodh me badhotari hojaegi sath he bache ko bhi poshtic aahar milega.
10): khoon badhane k liye.
Jinko khoon ki kami ki shikayat hai unko matar ko Roz khana chahiye Matar ka istemaal khoon badhane me madad karta hai.
11): vishele padarth ko door kare.
Matar hamare jism me moujood kisi bhi qisam k vishaile padarth ko khatam karne me kafi laabdayak hota hai.
Pea- (मटर) kinhe nahi khana chahiye ya kitna.
1): jinko motape ki pareshani hai unhe matar nahi khana chahiye kyuki pea- (मटर) me fiber prachur matra me hota hai jo fat ko badhane me madad karta hai isliye jinka wazan pehle se he zyada ho unhe matar nahi khana chahiye.
2): agar aapko pet me sujan rahti ho ya dard rahta ho to aapko मटर nahi khana chahiye kyuki ye pet k liye thanda hota hai jo aapki pareshani aur badha sakta hai.
3): matar waise to apne andar fayde he fayde rakhta h ai lekin jis bhi cheez ko hadd se zyada khana iske kuch na kuch nuksan hota he hai issi tarah matar k hadd se zyada istemal karne se pet dard aur dast ki pareshani hosakti hai agar aap kisi vishesh bimari ki dawa kha rahe ho to matar khane se pehle apne Dr ki salah zaroor le.
Comments
Post a Comment