Bitter gourd, karela- (करेला), karela juice-benefits,Hindi mein
Bitter gourd, karela- ek aaisi tarkari hai jo apne andar bohot si bimariyo k liye sanjeev I booti ki tarah faide samete huwi hai ye hamare roz marra k istemaal me aane wali to nahi hai lekin kuch log isse bade shouk se khate hai khaas tour par iska juice to kafi laabdayak hota hai.
ye khane me kadvi hoti hai.
Iski kheti india se shuru huwi thi jo baad me dakshin asia, uttar asia, aur uttar poorv asia me shuru huwi is ek sabzi k andar hamari sehat ko achi karne k kai gunn moujood hai. Isme
- Calcium.
- Magnesium.
- vitamin-C.
- Vitamin-A.
- Cobalamin.
- Iron.
- Vitamin-B6.
- Vitamin-D
Bitter gourd, karela- karela juice benefits
1): Blood sugar level.
Bitter gourd, karela- me moujood cheratine, aur momsiden, khoon ko saaf karke sugar level ko maanspeshiyo me sanchalit karne me madad karta hai.
2): digestive system.
करेला me moujood Anti-oxident hamare body ko clean karke metabolism aur digestive system ko theek karte hai karela juice to hamare immune system ko taqatwar bana kar body ko infection se ladne me madad karta hai.
3): skin ko saaf kare.
करेला me moujood vitamin-C dhoop se hamari skin ko bachata hai chare par pade daag dhabbe theek karke skin ko chamakdaar banata hai.
4): aankho ki bimariyo k liye.
करेला hamari aankho k liye bhi bohot faydemand hai iska roz 1 glass karela juice nihar pet pine se motiya bind, kam dikhai dena, aur sujan jaisi bimariya khatam hojati hai.
5): blood pressure.
करेला me moujood vitamins minerals carbohydrates ko kafi hadd tak kam karke blood pressure, heart attack, heart blockage jaisi gambhir bimariyo ko door karta hai roz subah karela juice me nimbu mila kar piye.
6): liver ko saaf kare.
Sharab pine se jinke liver me hangover hogaya hai ya aaisi he sharaab pine k aadi hai to aadha cup karela juice Roz subah piye isse aapka liver saaf hojaega.
Lekin dhyan rahe sharaab pite huwe ye faydemand nahi hoga iske liye aapko sharaab choddni hogi.
7): daat khaaj khujli.
Jinhe daat khaaj khujli ki pareshani hai wo करेला aur neem ka patta mila kar pees kar uska ras khujli ki jagah par lagae isse unke daat khaaj khujli ki samasya door hojaegi.
8): arthritis.
Jinko arthritis hai wo apne khane me karele ka sewan kare isse unki ye pareshani door hojaegi.
Bitter gourd, karela kin logo ko nahi khana chahiye.
1): Bitter gourd, karela ka hadd se zyada istemal aapke blood sugar level ko kam karsakta hai jisse chakkar aana aur behosh khojane jaisi gambhir pareshani hosakti hai.
2): करेला k hadd se zyada istemal se Himolitic enimiya ka khatra baddh jata hai jisse aapko buqaar aana matli ulti sar dard pet me dard jaisi samasya hosakti hai.
3): jinko lever aur kidney ki samasya hai wo sirf din bhar me aadha करेला ya iska utna he karela juice piye isse zyada ka istemal inki lever aur kidney ki pareshani aur badha dega.
4): garbhwati mahilae करेला ka sewan na kare kyuki isme monochrome namak tatv hota hai jo period ko tez kardeta hai jisse garbh awastha me period ki pareshani hosakti hai.
So friends karele ko niyamit roop me he khae ek aam insan din bhar me ek karela kha sakta hai isse zyada aapki pareshani badha sakta hai.
Comments
Post a Comment