Skip to main content

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)

Capsicum-(shimla mirch) ek aaisi sabzi jo dikhne me khoobsurat hone ke sath sath khane me swadist bhi hoti hai isse kai vyanjano me istemal kiya jata hai aur ye kai prakaar ki hoti hai choti badi sabhi prakar ki mool roop se शिमला मिर्च ki pehchan inhi gol aakar ki hai ye hazaro salo se sabziyon me istemal me aane wali sabzi hai jo mool roop se America ki paidavar hai lekin aaj ye dunya bhar me pai jati hai to aaiye jante hai iske fayde aur kuch nuksan ya jinhe isse nahi khana chahiye.
Isme

  1. Vitamin-C.
  2. Vitamin-K.
  3. Vitamin-E.
  4. Vitamin-B6.
  5. Beta carotine.
  6. Folate.
  7. Lutein.
  8. Niacin.
  9. Riboflavin.
  10. Thiamine.
  11. Pantothenic acid.
  12. Zinc.
  13. Phosphorus.
  14. Calcium.
  15. Manganese.
  16. Iron.
  17. Magnitiam.
  18. Sodium.
  19. Potassium.
  20. Protein.
  21. Sugar.
  22. Fat.
  23. Dietary fiber.
  24. Carbohydrates.
  25. Energy.
  26. Water 
Prachur matra me paya jata hai.

Capsicum-(shimla mirch) ke fayde.

1): wazan kam kare.
Capsicum-(shimla mirch) hamare shareer me moujood bad cholestrol ko kam karke good cholestrol ko badhata hai isme cholestrol nahi hota jisse hamare shareer ka wazan kam karne me madad milti hai.

2): pachan tatv mazboot kare.
शिमला मिर्च hamare shareer ke pachan tatv ko mazboot karne me laab dayak hoti hai iska niyamit istemal karne se pet ke sabhi bimariya door hoti hai.

3): ulcer ke liye.
jinhe ulcer jaisi samasya hai unhe शिमला मिर्च ka niyamit sewan karna chahiye isme moujood fiber. aur vitamins pet ko saaf karne me madad karke ulcer ko door karne me sahayak hote hai.

4): dil ki bimariyo ke liye.
शिमला मिर्च me fiber. vitamin-A, B, aur C prachur matra me paya jata hain iske ilawa protein bhi hota hai jo hamare shareer me khoon ke bahav mo kam niyantrit karta hai aur dil se judi sabhi bimariyo ko door karta hai.

5): balo ki samasya ke liye.
jinhe balo ke jhadne, dandruff, balo ka patla hona jaisi samasya hai unhe niyamit roop me शिमला मिर्च ka sewan zaroor karna chahiye kyuki isme moujood vitamin-C balo ko mazboot karne me madad karta hai.

6): sharirik shakti ko badhae.
शिमला मिर्च me moujood Anti oxident aur vitamin A, B aur C hamare shareer ko mazboot banane me madad karta hai.

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)


7):gas ko door kare.
jinhe gas ki samasya rahti hai unhe niyamit roop se शिमला मिर्च ka sewan karna chahiye isme hamare shareer ke liye kafi vitamins proteins aur calcium hota hai jo gas ko khatam karta hai.

8): skin ke liye.
शिमला मिर्च ka niyamit sewan karne se ye aapke chahre ko chamakdaar banata hai sath me keel muhaso ko bhi door karne me madad karta hai isme mloujood anti bacterial aur anti fungal tatv hamari skin ke liye laabdayak hai.

9): Diabates ke liye.
jinhe Diabates jaisi samasya hai unko niyamit roop me शिमला मिर्च ka istemal karna chahiye ye shareer me moujood khoon ko saaf karta hai aur isme sugar bhi nahi hoti jisse ye Diabates ko samaanya karne me madad karta hai.

10): high blood presure ke liye.
jinko high blood presure rahta hai unhe bhi shimla mirch ka sewan karna chahiye ye high blood presure ko control karke niyamit roop me lata hai.

11): saans ki samasya ke liye.
jinko saans se sambandhit koi samasya ha unhe bhi शिमला मिर्च ka niyamkit sewan karna chahiye isme moujood fiber. potasium vitamins saans se judi sabhi samasyao ko door karne me madad karte hai.

12): gathiya ke rogo me.
agar aapke jodo me haddiyo me dard ki shikayat rahti hai to aapko niyamit roop me शिमला मिर्च ka sewan karna chahiye isse aapke haddiyo me dard kam hota hai aur ye gathiya ke rog me kafi laabdayak hai.

Capsicum, Shimla mirch ke kuch nuksan.

1): Capsicum, (Shimla mirch)- ka hadd se zyada istemal karne se aapki pachan kriya bigad sakti hai ye hamari pachan kriya ko dhima karsakta hai isliye iska niyamit he istemal kare aur aap jab bhi isse khareede saaf chamakdaar bina daag dhabbe wala he khareede.

2): agar aapko hipertention jaisi samasya hai ya blood presure low rahta hai tab bhi aapko शिमला मिर्च ka sewan nahi karna chahiye ye aapke blood presure ko aur low kardegi sath he hipertention me bhi izafa kardegi.

3): agar aapko kahi kata hai to शिमला मिर्च ka istemal na kare lkyuki ye khoon ko patla karti hai isse aapko kati huwi jagah se khoon bahnee jaisi shikayat hosakti hai.

Comments

  1. Thanks for sharing such beautiful information with us. I hope you will share some more information about capsicum benefits.Please keep sharing.
    Benefits Of Green Capsicum

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन) fayde aur nuksan, Hindi mein

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन)  fayde aur nuksan, Hindi mein Lahsun,Garlic  har ghar me istemaal hone wali aam cheez hai iske bina shayad he koi sabzi banti ho ye ek swastwardhak aur aushadhi guno se bhar poor lahsun pyaz ki rishtedaar hai hindustan he nahi balki sari dunya me lahsun ka wibhin prakaar se wyanjano me istemal kiya jata hai iski sabse zyada kheti china me hoti hai mool roop se ye iran aur asia me sabse pehle ugaya gaya tha iska itihas bohot purana hai log isse aushadhi k roop me istemal karte thei aur aaj bhi kai aushadhiyon me iska istemaal hota hai. Isse kai prakaar se istemaal me liya jata hai paste k roop me powder k oil k roop me aur sauce k roop me. Lahsun, Garlic-benefits, (लहसुन) fayde. 1): dil k rogo k liye. Agar aap roz subah lahsun, Garlic  ka istemaal nihar pet kare kacha chaba kar to ye aapke khoon k bahaav ko saaf aur tez karke dil se judi sabhi bimariyo ko door karne me saksham hota hai. 2): dimaqi tention k liye....

Onion (pyaz) onion oil for hair fayde aur nuksan, Hindi mein

Onion (pyaz) onion oil  for hair  fayde aur nuksan, Hindi mein Onion (pyaz) ek aaisi sabzi hai jiske bina khane me maza he na aae na he tadka lage ye hamare pakwano me ye itni zaroori sabzi hai chahe aap isse kacha khae chahe sabzi me paka kar ya salad kay roop me khae ye har haal me aapki sehat kay liye faydemand he hai. Ye kai prakaar me milta hai lal colour, white colour, hare colour, aur iski patti wali nasal bhi Bazaro me pai jati hai to aaiye jaante hai iske fayde aur kuch nuksan isme. Vitamin-A. Vitamin-B6. vitamin-C. Potassium. Calcium. Diateryfiber. Sodium. Sugar. Cobalamin. Iron. Magnesium. Fat. Chromium. Paye jate hai. Onion (pyaz) ke fayde. 1): diabetes kay liye. Jinhe Diabetes jaisi samasya hai unhe pyaz ka sewan karna chahiye isme chromium paya jata hai jo sugar level ko control karta hai. 2): balo kay liye. Jinhe baal jhadne ki samasya hai unhe kacha onion oil   ka sewan karna chahiye sath he hafte me 2 bar on...