Onion (pyaz) onion oil for hair fayde aur nuksan, Hindi mein
Onion (pyaz) ek aaisi sabzi hai jiske bina khane me maza he na aae na he tadka lage ye hamare pakwano me ye itni zaroori sabzi hai chahe aap isse kacha khae chahe sabzi me paka kar ya salad kay roop me khae ye har haal me aapki sehat kay liye faydemand he hai.
Ye kai prakaar me milta hai lal colour, white colour, hare colour, aur iski patti wali nasal bhi Bazaro me pai jati hai to aaiye jaante hai iske fayde aur kuch nuksan isme.
- Vitamin-A.
- Vitamin-B6.
- vitamin-C.
- Potassium.
- Calcium.
- Diateryfiber.
- Sodium.
- Sugar.
- Cobalamin.
- Iron.
- Magnesium.
- Fat.
- Chromium.
Onion (pyaz) ke fayde.
1): diabetes kay liye.
Jinhe Diabetes jaisi samasya hai unhe pyaz ka sewan karna chahiye isme chromium paya jata hai jo sugar level ko control karta hai.
2): balo kay liye.
Jinhe baal jhadne ki samasya hai unhe kacha onion oil ka sewan karna chahiye sath he hafte me 2 bar onion oil hair (balo) me lagana chahiye isse balo ka jhadna band hojaega.
3): rog pratirodhak shartmta badhae.
Kache प्याज़ ka niyamit sewan kare isse aapka immune system mazboot hota hai aur shareer ko rogo se ladne kay liye mazboot banata hai.
4): arthritis kay liye.
Jinhe arthritis ki samasya hai unhe bhi kache प्याज़ ka sewan karna chahiye isme Anti implementing properties hoti hai jo arthritis ko rokta hai.
5): skin kay liye.
Kache प्याज़ ka niyamit sewan karne se apki skin kay sabhi pareshaniya khatam hojaegi isme moujood vitamins aapke skin ko chamakdaar banata hai sath he jhurriya kam hoti hai aur daag dhabbe bhi chale jaege.
6): Daanto kay liye
प्याज़ ka niyamit sewan karne se aapke Daant aur masudhe mazboot honge sath he ye muu kay bacteria ko bhi khatam karta hai.
7): nasha utarne kay liye.
Jinko nasha karne ki lat hoti hai unhe pyaz kay 10 se 15 gram ras me 2 chamach shahed mila kar pilae isse nasha karne ki aadat khatam hojaegi.
8): masso kay liye.
Jinke shareer par kale mote masse hai unhe onion oil ko lagae isse masse jhad kar khatam hojaege.
9): janwar kay kaatne par.
Jab kisiko koi janwar kaat le jaise kutta waqera to iske kate huwi jagah par onion oil me shahed mila kar lagae sath he pyaz ka ras bhi pilae isse janwar kay katne se paida hone wala zaher khatam hojata hai.
10): jodo aur ghutno kay dard me.
Jinhe jodo aur ghutno me dard ki shikayat rahti hai unhe onion oil me sarso ka tel Mila kar dard wali jagah par halka malish kare isse inka dard kam hojaega.
11): khansi kay liye.
Agar aapko khansi hai to aapko pyaz kay ras me shahed mila kar pina chahiye isse aapki khansi khatam hojaegi.
12): Gurde ki pathri kay liye.
Jinhe gurde ya pitte me pathri ki shikayat hai unhe roz subah प्याज़ kay ras ko pina chahiye isse pathri peshab kay zariye he nikal jaegi.
13): looh se bachav.
Garmiyo me looh lagne jaisi gambhir samasya hosakti hai iske liye aap roz garmiyo me kache pyaz ka sewan kare isse looh nahi lagegi aaisa kaha jata hai aur kai kisan aaisa karte bhi hai wo apne sath ek pyaz ki dalli rakhte hai jisse garam looh se hifazat hoti hai.
14): mardani taqat badhae.
Kache safed (white) प्याज़ ko kaat kar desi ghee me tal kar isse salad kay roop me khae isse pursho me mardani taqat ki vridhi hoti hai aur bed time me bhi badhotari hoti hai.
Onion (pyaz) kay nuksan.
1): प्याज़ ka niyamit sewan he kare iske atyadhunik istemal karne se gas banne ki samasya hosakti hai kyuki pyaz khane k baad jaldi nahi puchti isliye agar aap isse zyada matra me khaoge to ye pachegi nahi jisse gas ki samasya hosakti hai.
2): jo mahilae garbhwati hai ya bacho ko doodh pilati hai unhe Onion (pyaz) onion oil ka sewan nahi karna chahiye isse garbhwati aur doodh pilane wali mahilao ko sine me jalan hosakti hai sath he doodh me buu bhi aati hai jisse bache doodh nahi piyenge.
3): pyaz ka niyamit sewan he kare iska zyada istemal karne se sine me jalan hosakti hai kyuki isme potassium ki matra adhik hoti hai jo shareer me ja kar cardio liver ko nuksan pohchata hai jisse sine me jalan jaisi samasya paida hoti hai.
Comments
Post a Comment