Sapota, चीकू- chiku, healthiest fruits- benefits, Hindi mein
Sapota, (चीकू)- ek meetha aur swadist phal jo garmiyo me aata hai iski taseer garam hoti hai jise aam tour par alag alag desho me alag alag naam se jana jata hai kahi sapota kahi chikoo kahi nispero to kahi naseberry.
Ye india, Malaysia, pakistan, indonesia, Cambodia, thailand, bangladesh, Mexico, me bhari matra me paya jata hai.
Isme 71% pani hota hai.
Aap isse aaise he khae ya iska juice bana kar piye ya isko doodh k sath milakar iska shake bana kar piye ye aapke liye har shakal me faide mand hota hai.
Is ek chote se phal me hamari sehat k liye itne gunnd chupe hai k aap jaan kar hairan rah jaoge Isme.
- Protein.
- Carbohydrates.
- Fiber.
- Fat.
- Magnesium.
- Zinc.
- Iron.
- Sodium.
- Vitamin-B6.
- Folate.
- Pantothenic-Acid.
- Vitamins.
- Dietary-fiber.
- Calcium.
- Folate.
- vitamin-C.
Sapota (चीकू)- benefits.
1): aankho k liye.
Jinki aankho ki roshni kamzor ho wo sapota (चीकू)- ka sewan kare isme moujood vitamin-C aankho ki roshni badhane me kafi madadgaar hai.
2): kidney stone.
Jinko kidney ki pareshani hai wo Roz ek chiku ka sewan kare isse unke kidney me moujood stone saaf hojaega sath he kidney se judi tamaam samasyao ka bhi samadhaan hojaega.
3): cancer k khatre se bachav.
Chiku ka sewan cancer k khatre ko door karta hai kyuki isme vitamin-A vitamin-B aur Anti-oxident prachur matra me hota hai jisse cancer ka khatra kam hojata hai visheshagya chikoo ka juice pine ki salah dete hai.
4): haddiyon k liye.
Chiku aur doodh ko milakar iska shake bana le aur isko roz ek glass subah khana khane k aadhe ghante baad piye isse jism ki haddiya mazboot hoti hai kyuki doodh aur चीकू ko mix karne se dono k poshak tatv ek jagah hojate hai.
5): kabz ko door kare.
Chiku ka roz niyamit istemal karne se aapki kabz dast aur anemia jaisi bimariyo ko rokta hai.
6): cancer se bachav
चीकू ka istemal stomec cancer ko door karta hai isme itne vitamins, minerals, Anti-oxident, zinc, waqera paye jate hai k ye aapke phepdo k cancer ko door karta hai.
7): Blood cancer k liye.
Is phal me pae jane wale minerals vitamins phosphorus Blood cancer se ladne me madad karte hai.
8): pachankriya ko sahi kare.
Chiku me moujood vitamin-C, iron, Dietary-fiber Anti-oxident aapke pachankriya ko durust karta hai shareer me banne wale bacteria ko khatam karta hai.
9): stanpaan karane wali mahilao k liye.
Jo aurate apne bacho ko stanpaan karati hai unko sapota juice Roz ek glass zaroor pina chahiye isme moujood carbohydrates nutrients se bharpoor ye phal un mahilao k liye bohot faydemand hai.
10): maansik rogo ko door karta hai.
Chiku hamare shareer k sath sath maasik bimariyo se ladne me bhi bohot laabdayak hota hai iska niyamit istemal se hamare naso k tanaav ko door karta hai jisse hamare mastishk me sphoorti aajati hai jisse thakavat anidra se chutkara milta hai.
Sapota, (चीकू)- kin logo ko nahi khana chahiye.
1): sapota, (चीकू)- me calories bohot zyada matra me hoti hai issiliye iska niyamit istemal karna chahiye warna ye aapke jism me fat ko badha kar motapa badha sakta hai.
2): zyada chiku khane se dast ki pareshani ya pet dard ki samasya hosakti hai isliye iska niyamit istemal kare din bhar me sirf 1 ya 2 he chikoo khae.
3): चीकू agar kache ho ya adpake ho to usse na khae kyuki isse aapko khansi ya sardi zuqaam hosakti hai isliye chikoo hamesha paka huwa he khae.
Thanks for Sharing more details about Chikoo fruit supplier in Tamilnadu
ReplyDelete