Turmeric, haldi- turmeric powder- benefits aur nuksan, Hindi mein
Turmeric (haldi) hamare gharo me pae jane wale masalo me ek aam masala jo sabziyon me colour lane kay liye istemal kiya jata hai jiske bina lagbhag koi bhi sabzi banana mushkil he hai chote se poudhe se Milne wali haldi apne andar bohot se benefits liye huwe hai jo adrak kay rishtey me aati hai.
Iski sabse zyada kheti Asia me hoti hai jisme india aur china top par aate hai.
Iska istemal kai hazaro saalo se hota aaraha hai jisme Ayurved me bhi iska istemal kiya jata hai.
Aaiye jaante hai iske kuch fayde isme.
- Fat.
- Protein.
- Manganese.
- Calories.
- Potassium.
- Sugar.
- Iron.
- Fiber.
- Carbohydrates.
Turmeric (haldi) ke fayde.
1): haddiyon kay liye.
Roz ek glass doodh me haldi turmeric powder milakar pine se haddiya mazboot hoti hai isse hamare shareer ko prachur matra me fiber milta hai.
2): blood saaf kare.
Ek glass doodh me ek chamach turmeric (haldi) mila kar pine se ye aapke shareer me moujood gandgi ko khatam karke khoon ko patla karke saaf karta hai jo kai bimariyo se bachata hai.
3): ulcer theek karta hai.
Roz subah ek glass doodh me ek chamach turmeric powder mila kar pine se ye hamare pet ki safai karta hai sath he aanto ko bhi saaf karke ulcer ko theek karta hai.
4): cancer ko rokne kay liye.
Roz हल्दी ka pani pine se kai qisam kay cancer ko apni jagah rokne me saksham hota hai ye pani doodh me haldi mila kar pine se zyada bahtar hai jo jaldi asar karta hai.
5): gathiya kay liye.
Jinhe gathiya banne jaisi samasya hai ghutno me dard waqera turmeric powder doodh me milae ya pani pine se gathiya ka nidan aur riyomotide gathiya kay sujan ko door karne me saksham hota hai.
6): wazan kam kare.
Jo log motape se pareshan hai unko हल्दी kay pani me shahed aur nimbu ka ras mila kar roz subah nihar pet pina chahiye agar ye lagatar roz ek glass piya jae to aapko hairat angez natije milege kuch he dino me aapka wazam kam hona shuru hojaega lekin sath he aapko apni diet par control rakhna chahiye.
7): haldi ka pani banane ka tariqa.
Aapko ek glass pani me aadha chamach haldi powder aur ek chamach shahed mila kar us pani ko garam kar lena hai isme haldi aur shahed achi tarah mil jane kay baad pani ko gunguna hojane de ab ye aapka haldi ka pani tayyar hai aap isse kabhi bhi kisi waqt bhi pi sakte hai lekin iske pine ka sabse bahtar waqt subah ka hai jisse aapko hairat angez fayde milne wale hai aur is pani ka koi side effects bhi nahi hai matlab kay aap is pani ko be jhijhak pi sakte hai.
8): kabz ko door kare.
Jinhe kabz ki pareshani hai unhe roz subah nihar pet हल्दी ka pani pina chahiye isse aapka pet bilkul saaf ho kar kabz khatam hojaega.
9): skin ko chamakdaar banae.
Pani nahane kay waqt turmeric powder ko ek katore pani me mila iska gadhaa lep bana le phir is lep ko apne chahre aur jaha jaha dark spot hai waha waha lagae ya aap is lep ko sare body par bhi laga sakte hai iske baad pani nahae isse kuch he dino me aapke sare dark spot black heads khatam hojaege sath he aapki skin chamakdaar aur gori hojaegi.
10): dimag tez kare.
हल्दी kay pani ka roz sewan karne se aapka dimag tez hota hai aur ye badhte bacho ki memory kay liye bhi bohot fayde mand hota hai.
11): sardi zuqaam kay liye.
Jinhe sardi zuqaam hai unhe sote waqt ek glass हल्दी kay pani me thoda sa kala namak Mila kar pina chahiye isse aapki sardi khatam hojaegi.
12): daanto kay liye.
Aadha chamach हल्दी le isme thoda sa sendha namak aur sarso ka tel Mila le ab is ko paste bana le ab is paste ko apne daanto par ragde ya ye kahe isse tooth paste ki tarah istemal kare isse aapke masudhe mazboot honge masudho se khoon nikalna band hojaega daant mazboot hojaege.
Turmeric (haldi) kay nuksan.
1): agar aapko pathri ki samasya hai to aapko turmeric (haldi) ka sewan kam he karna chahiye wo bhi khane me na iska pani piye na doodh me mila kar piye isse aapki pitte ya kidney me pathri ki pareshani badh sakti hai.
2): agar aapki kisi bhi prakaar ki surgery huwi hai to aapko हल्दी ka sewan nahi karna chahiye kyuki haldi khoon kay thakke banne se rokti hai aur khoon ko patla karti hai isliye agar aap iska sewan
karoge to aapko khoon zyada bahne ki samasya hosakti hai.
3): jin logo ko diabetes ki samasya hai unhe iska sewan karne se pehle apne Dr ki salah zaroor leni chahiye kyuki हल्दी aapke blood sugar level ko bigad sakti hai.
Comments
Post a Comment