gwarpatha, Aloe vera- aloe vera jel- benefits aur nuksan, hindi mein
Gwarpatha, Aloe vera ek aaisa poudha jo kai sare aushadhi guno se bharpoor hai jo hamare soundarye k liye kafi laabdayak hai dikhne me katila iska patta apne andar kai fayde samete huwe hai ye zyada tar Tropical aur semi Tropical tezi se badhta hai lekin aaj kal iski kheti har jagah hone lagi hai aur gharo k gamlo me bhi ye poudha aasani se ugh jata hai.
Chota sa ye poudha Arab se nikla hai jo aaj dunya bhar me paya jata hai.
Iska istemal beauty products me ayurvedic dawaiyo me medicines me aur sabun me istemal kiya jata hai.
is chote se paudhe k pattiyo k aaise aaise fayde hai ki aap jaan kar hairan rah jaoge
Gwarpatha, Aloe vera- benefits.
1): skin k liye.
Gwarpatha, Aloe vera k juice ka roz niyamit istemal karne se aapki skin chamakdar hojaegi.
2): pachan shakti badhae.
Iska niyamit istemal aapke shareer ko saaf karke khoon saaf karta hai jisse aapki pachan shakti badhti hai aapko sirf iska juice bana kar pina hai.
3): balo k liye.
Aloe vera me thodi si haldi mila kar isse sar par lagae phir isse 10 se 15 minute chod de iske baad sar dho le rozana aaisa karne se aapke baalo se roosi bal jhadne ruk jaega sath he baal chamakdar hojaege.
4): muu k chalo kay liye.
Jinhe muu me chale hogae ho unhe chahiye k 2 se 3 minute is Aloe vera jel ko apne muu me bhar kar rakhe isse aapke muu k chale waqera theek hojaege.
5): high blood pressure k liye.
Jinko high blood pressure ho unhe roz ek glass subah nihar pet iska juice pina chahiye isse aapka cholesterol kam hota hai jo apke blood pressure ko niyantrit karta hai.
6): wazan kam karne me.
Jinko motape ki pareshani hai unhe bhi roz subah nihar pet iska juice pina chahiye ye hamare shareer me moujood atrict fat ko kaat ta hai aur motape ko kam karta hai.
7): cancer kay liye.
Iske juice ka roz niyamit istemal karne se kai qisam k cancer ko theek karne me madad milti hai jaise breast cancer, blood cancer, broastage cancer, liver cancer itti yadi.
8): sujan dard waqera k liye.
Agar aapko kisi bhi qisam ki sujan ho ya kisi tarah ki moach ho to aap aloe vera ki ek patti ko kaat ke iske chaktiya kaat le phir isse halka sa pan par sek le (garm karle) uske baad dard ki jagah par halka sa ragad l iske baad issi pattiyo ko dard ki jagah rakh kar upar se kapda baandh le 1 ya 2 ghante rahne de phir nikal de bahtar hoga aap raat ko sote waqt ye kaam kare subah kapda khol de phir wash karl isse jaisa se jaisa dard ho khatam kardega.
Aloe vera gel ke fayde.
9): dark circles k liye.
Jinhe chahre par dark circles hai unko roz sone se pehle aloe vera gel ko laga kar so jae isse kuch he dino me aapke dark circles khatam hojaege.
10): skin chamakdar banae.
Agar aapki skin par umar k sath sath wrinkles padhne lage hai to aapko bhi roz raat ko sote waqt Aloe vera gel ko laga kar sona hai isse wrinkles kam honge aur aapki skin narm mulayam aur chamakdaar hojaegi.
11): daag dhabbo k liye.
Agar aapke chahre par daag dhabbe hai to aapko aloe vera gel me thoda sa nimbu ka ras mila kar sote waqt laga lena hai aaisa karne se 2 ya 3 dino me he aapke daag dabbe kam hona shuru hojaege.
12): dhoop se chara kaala ya lal padna.
Jinko dhoop se chahra lal ya kala padne lagta hai unhe roz Aloe vera gel ko istemal karna chahiye isse sabhi tariqe k chahre k lal kale pan khatam hojaega.
Gwarpatha, Aloe vera ke nuksan aur kinhe iska istemaal nahi karna chahiye.
1): Gwarpatha, Aloe vera ki taseer garm hoti hai is liye garbh awastha me iska istemal karne se bache.
2): Bawasir patients ko iske istemal karne se bachna chahiye.
3): jinke jigar me pitta hai unhe bhi iska istemal nahi karna chahiye warna inki pareshani badh sakti hai.
4): iska lambe samay tak istemal na kare isse potassium jaise electro lights ki hani ka karand ban sakti hai.
Comments
Post a Comment