Skip to main content

Potato, Aalu- आलू sweet potato, benefits, Hindi mein

Potato, Aalu- आलू sweet potato, benefits, Hiindi mein

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)

Potato, Aalu ek behad lokpriya aur sabse zyada khae jane wale sabziyon ki shreni me aati hai iske andar itne minerals vitamins hote hai k isse sabziyon ka raja bhi kaha jata hai chote patto wale paudhe k sath ye badi sabzi andar bahar se halke pile rang ki hoti hai ye sabzi dunya bhar me pae aur khane jane wali sabzi hai kuch to iska istemal sabziyon me mila kar paka kar hota hai to kuch chips banae jate hai aur fry karke masale laga kar is swadist aur poshtic sabzi ko khaya jata hai.

  1. Carbohydrates.
  2. vitamin-C.
  3. Vitamin-B6.
  4. Potassium.
  5. Fiber.
  6. Magnesium.
  7. Phosphorus.
  8. Zinc.
  9. Iron.
  10. Calcium.
  11. Sodium.
Jaise tatv prachur matra me pae jate hai.

Potato, Aalu  benefits.

1): jal jae to.
Agar aapki skin jali ho pakate samay ya kahi aur to aap आलू k kate tukdo ko us jali jagah par lagae isse aapko turant thandak pohchegi sath he jalne k nishan bhi nahi aaege ghouv jald theek hojaega.

2): aankho k liye.
Roz potato, Aalu ka niyamit sewan se aankho ki samasyao se chutkara milega lekin aalu ko aapko tal kar nahi khana ubaal kar ya sabzi me paka kar khana hai.

3): pachan shakti k liye.
आलू ko ubaal kar khae isse isme moujood carbohydrates pachan kriya ko tez karke khaya huwa khana jald pacha deta hai.

4): pathri k liye.
Ubla huwa आलू ka sewan kare isme moujood vitamin-C, vitamin-A, iron aur vitamin-B6 gurde ki pathri ko pighalane ka kaam karte hai.

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)


5): wazan badhae.
Uble huwe आलू ka roz subah shaam niyamit sewan karne se aapka wazan badhta hai.

6): khoobsurat twacha k liye.
Ek आलू ko ubaal kar achi tarah bareek pees le iske baad isme ek chamach nimbu ka ras milae phir isse apne chahre par laga le 10-15 minute k baad chahra dho le isse aapki twacha chamakdaar aur nikhar jaegi.

7): aankho k kale ghero k liye.
Ek uble huwe आलू ko pees kar usme ek bada chamach shahed mila le phir is mixture ko aankhon k kale ghero ki jagah laga le 15-20 minute laga kar rakhe uske baad dho le isse aankho k kale dhabbe khatam hojaege.

8): raktachap k liye.
Aalu me moujood carbohydrates khoon me Glucose k ache sthar ko banae rakhne me saksham hota hai jisse dimag ko sahi prakaar me oxygen bhi milta hai.

9): gathiya rog k liye.
आलू k ras ko pine se gathiya rog ko door karne me madad milti hai aalu me moujood calcium aur magnitium gathiya se rahat dene me faide mand hote hai.

10): keel muhaso k liye.
आलू ko thoda mota pees kar iska paste bana le isme thoda sa doodh milae ab is mixture ko keel muhaso ki jagah par laga kar 15-20 minute k laga kar chodd de uske baad dho le isse muhase narm pad jaege phir khatam hojaege.

Aalu, Potato  kinhe nahi khana chahiye.

1): potato, Aalu ka atyadhunik sewan karne se bache isse gas pet dard jaisi samasya hosakti hai ek simit matra me he aalu ka sewan kare din bhar me aadha aalu.

2): jo mahilae garbhwati hai wo Aalu ka sewan kam he kare isse ji machlana ulti jaisi samasya hosakti hai.

3): tale huwe आलू ka sewan hargiz na kare isse pet ki kai samasyae hosakti hai jaise gas pet dard waqera.

4): sadaa huwa आलू na khae isse pet me dard dairiya jaisi samasya hosakti hai.

Comments

Popular posts from this blog

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi Capsicum-(shimla mirch) ek aaisi sabzi jo dikhne me khoobsurat hone ke sath sath khane me swadist bhi hoti hai isse kai vyanjano me istemal kiya jata hai aur ye kai prakaar ki hoti hai choti badi sabhi prakar ki mool roop se शिमला मिर्च ki pehchan inhi gol aakar ki hai ye hazaro salo se sabziyon me istemal me aane wali sabzi hai jo mool roop se America ki paidavar hai lekin aaj ye dunya bhar me pai jati hai to aaiye jante hai iske fayde aur kuch nuksan ya jinhe isse nahi khana chahiye. Isme Vitamin-C. Vitamin-K. Vitamin-E. Vitamin-B6. Beta carotine. Folate. Lutein. Niacin. Riboflavin. Thiamine. Pantothenic acid. Zinc. Phosphorus. Calcium. Manganese. Iron. Magnitiam. Sodium. Potassium. Protein. Sugar. Fat. Dietary fiber. Carbohydrates. Energy. Water  Prachur matra me paya jata hai. Capsicum-(shimla mirch) ke fayde. 1): wazan kam kare. Capsicum-(shimla mirch ) hamare shareer me...

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन) fayde aur nuksan, Hindi mein

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन)  fayde aur nuksan, Hindi mein Lahsun,Garlic  har ghar me istemaal hone wali aam cheez hai iske bina shayad he koi sabzi banti ho ye ek swastwardhak aur aushadhi guno se bhar poor lahsun pyaz ki rishtedaar hai hindustan he nahi balki sari dunya me lahsun ka wibhin prakaar se wyanjano me istemal kiya jata hai iski sabse zyada kheti china me hoti hai mool roop se ye iran aur asia me sabse pehle ugaya gaya tha iska itihas bohot purana hai log isse aushadhi k roop me istemal karte thei aur aaj bhi kai aushadhiyon me iska istemaal hota hai. Isse kai prakaar se istemaal me liya jata hai paste k roop me powder k oil k roop me aur sauce k roop me. Lahsun, Garlic-benefits, (लहसुन) fayde. 1): dil k rogo k liye. Agar aap roz subah lahsun, Garlic  ka istemaal nihar pet kare kacha chaba kar to ye aapke khoon k bahaav ko saaf aur tez karke dil se judi sabhi bimariyo ko door karne me saksham hota hai. 2): dimaqi tention k liye....

Onion (pyaz) onion oil for hair fayde aur nuksan, Hindi mein

Onion (pyaz) onion oil  for hair  fayde aur nuksan, Hindi mein Onion (pyaz) ek aaisi sabzi hai jiske bina khane me maza he na aae na he tadka lage ye hamare pakwano me ye itni zaroori sabzi hai chahe aap isse kacha khae chahe sabzi me paka kar ya salad kay roop me khae ye har haal me aapki sehat kay liye faydemand he hai. Ye kai prakaar me milta hai lal colour, white colour, hare colour, aur iski patti wali nasal bhi Bazaro me pai jati hai to aaiye jaante hai iske fayde aur kuch nuksan isme. Vitamin-A. Vitamin-B6. vitamin-C. Potassium. Calcium. Diateryfiber. Sodium. Sugar. Cobalamin. Iron. Magnesium. Fat. Chromium. Paye jate hai. Onion (pyaz) ke fayde. 1): diabetes kay liye. Jinhe Diabetes jaisi samasya hai unhe pyaz ka sewan karna chahiye isme chromium paya jata hai jo sugar level ko control karta hai. 2): balo kay liye. Jinhe baal jhadne ki samasya hai unhe kacha onion oil   ka sewan karna chahiye sath he hafte me 2 bar on...