Lychee, लीची- Leechee, healthiest fruits- benefit, Hindi mein
Lychee (लीची)- Leechee ek swadist phal jo dikhne me chota sa hota hai iska rang bahar se pink aur andar se white jo hamare swasth k liye bohot faide mand hai. Is phal ki paida waar china me sabse zyada hai iske baad hamare hindustan me ye ek tropical phal hai is chote se meethe phal me itne faide hai k aap hairan hojaoge isme
- vitamin-C.
- Vitamin-B
- Carbohydrates.
- Vitamin-A
- Bitacarotine.
- Phosphorus.
- Magnesium.
- Potassium.
- Oligonole.
- Calcium.
Lychee, लीची- Leechee healtheist fruit benefit.
1): chahre k jhurriya khatam karta hai.
Agar aapko chahre par jhurriya hai ya chahra dhoop k karand kala padh gaya hai lychee, लीची ka upyog kijiye isme bharpoor matra me pani hota hai aur vitamin A,B aur C jo jhurriyo ko khatam karke aapke rang ko bikharti hai.
2): gale ki bimariyo me.
Gale ki bimariyo k liye Leechee laabdayak hai agar aapko gale me kharash hai ya sujan ya koi aur pareshani is phal ka sewan karne se aapki pareshani door hojaegi.
3): diabetes k liye faide mand.
Jin logo ko diabetes ki pareshani hai wo garmiyo me lychee (लीची)- ka istemal kare jinke shareer me insulin banna band hojata hai wo is phal ko khae isse kafi faida hoga.
4): dil ki bimariyo k liye.
Jinhe dil se sambandhit pareshani hai jaise heart attack high blood pressure unko Leechee istemal karna chahiye kyuki isme moujood olijony aur carotine dil ki samasyao se ladne me aapki madad karte hai.
5): agar aapko kaff ki shikayat rahti hai to Lychee istemal kare isse kaff ki pareshani door hojati hai.
6): cancer k liye.
Agar jinko cancer jaisi samasya ho wo Leechee ka sewan zaroor kare kyuki isme moujood polyphonic aur proanthocyanidins kai prakaar k cancer ko door karne me madad karta hai.
7): youn ichao ko badhae.
Lychee, लीची- ko youn ichao ko badhane k liye jana jata hai isme potassium, copper, vitamin-C jaise mahatvpoorn tathv isme hote hai.
8): aankho ki samasya k liye.
Leechee me phitochemical hote hai jo Anti-oxident aur Antineoplastic se bhare hote hai jisse motiya bind aur doosri aankho ki samasyao se bachate hai.
9): pachan shakti badhati hai.
लीची hamare pachan tatv ko durust karke pachan sakti ko badhata hai.
10): dimaghi pareshaniyo se rahat.
Leechee hamare dimaghi pareshaniyo ko door karke hamare jism me tazgi lata hai khoon ki douran badhata hai.
Lychee, लीची- Leechee kinhe nahi khana chahiye.
1): khali pet Leechee ko na khae isse hamare jism me glucose ka banna band hojata hai aur shareer ko nuksan pohoch sakta hai.
2): garbhwati mahila khatti lychee,लीची- na khae qaas tour par shuruaati 3 mahino me isse gale me kharash hosakti hai aur zyada khatta khane par garbh ko nuksan bhi hosakta hai.
3): dhyan rahe sabke liye is phal ko din bhar me 4 se 5 he khae isse zyada na khae.
Comments
Post a Comment