Skip to main content

Kabuli chana, chickpeas- benefits aur nuksan, Hindi mein

Kabuli chana, chickpeas- benefits aur nuksan, Hindi mein

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)

Kabuli chana, Chickpeas  Hamare pakwano me ye zyada istemal  hone wala chana  jis bhi sabzi me jata hai uska maza dugna kardeta hai hindustan ki sabse zyada lokpriya aur sabse zyada khae jane wali sabzi chole bhature hai.
chole jise kabuli chana bhi kaha jata hai mukhya 3 prakaar ka hota hai ek kabul ka kabuli doosra Desi halka hare rang ka 3rd kale rang ka indian pakwano me iska mahatvu alag he hai isse sabzi, soop, panj me bhigo kar kacha aur salad me bhi istemal kiya jata hai.
dikhne me chota sa lekin apne andar kai Nutritions chupae huwe hai isme.
  1. Energy.
  2. Sugar.
  3. Diateryfiber.
  4. Carbohydrates.
  5. Monounsaturated fat.
  6. Saturated fat.
  7. Polyunsaturated fat.
  8. vitamin-C, A, K, E, B12,.
  9. Riboflavin-B2.
  10. Folate.
  11. Niacin.
  12. Thiamine.
  13. Phosphorus.
  14. Zinc.
  15. Potassium.
  16. Calcium.
  17. Iron.
  18. Sodium.
  19. Magnesium.
Pae jate hai.

Kabuli chana, Chickpeas benefits

1): shareer ko taqatwar banae.
Kabuli chana, Chickpeas me protein, vitamin, fiber prachur matra me paya jata hai jisse shareer me protein aur fiber ki sari kami door hojati hai jisse hamara shareer taqatwar banta hai.

2): cholesterol kay liye.
छोले hamare aanto kay bad cholesterol ko kam karke good cholesterol badhate hai jisse hamara wazan niyantrit rahta hai.

3): anemia se bachae.
छोले me iron prachur matra me hota hai iska niyamit sewan karne se shareer ko zaruri iron milta hai jisse anemia kay khatre ko khatam karta hai.

4): hormones badhae.
Badhti umar kay sath mahilao me hormones ki kami hojati hai kabuli chaana ka niyamit istemal karne se ye kami puri hojati hai.

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)


5): diabetes kay liye.
काबुली चना ka niyamit istemal karne se pachan kriya kay zariye se blood sugar ko niyantrit karne ki ek mazboot pranali hoti hai ye hamare shareer me blood sugar aur insulin ka samaanya sthar rakhta hai.

6): jhurriyo kay liye.
Free radicals kay karand jhurriya padhne lagti hai safed छोले ka niyamit istemal karne se jhurriya kam hone lagti hai kyuki isme prachur matra me manganese paya jata hai jo free radicals ko nasht karke koshikao ko oorja pradaan karta hai.

7): cancer kay khatre se bachae.
छोले me selenium aur seponium namak phitochemical hota hai jo liver kay kaaryon me madad karke cancer kay bacteria k khatre ko kam karta hai.

8): garbhwati mahilaeo kay liye.
Garbhavastha me mahilao ko niyamit roop se काबुली चना  ka istemal karna chahiye kyuki isme calcium, iron, folate, fiber paya jata hai jo garbhavastha me behad zaruri hota hai folate to garbhavastha me sabse zaruri hai jo maa aur bache ko chahiye.

9): rakt koshikaon ko banae.
छोले me iron aur phosphorus paya jata hai jo hamare shareer me khoon kay koshikao ko banata hai aur sath he rakt pravah theek karta hai.

Kabuli chana, Chickpeas ke nuksan.

1): agar aap gurde ki ya pitte ki pathri ki samasya se joojh rahe hai to aapko kabuli chana, chickpeas ka istemal nahi karna chahiye kyuki ye aapki samasya badha sakta hai.

2): chane hamari sehat kay liye fayde mand he hai lekin iska bhi niyamit istemal karna chahiye kyuki isme pyurin namak yogi bhi paya jata hai jo shareer me uric acid ki matra badha sakta hai.

3): छोले ka hamesha he niyamit sewan kare iska zyada sewan karne par pet ki gadbadi, gas ka banna, kabz ki shikayat, badhazmi hosakti hai.

Comments

Popular posts from this blog

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi Capsicum-(shimla mirch) ek aaisi sabzi jo dikhne me khoobsurat hone ke sath sath khane me swadist bhi hoti hai isse kai vyanjano me istemal kiya jata hai aur ye kai prakaar ki hoti hai choti badi sabhi prakar ki mool roop se शिमला मिर्च ki pehchan inhi gol aakar ki hai ye hazaro salo se sabziyon me istemal me aane wali sabzi hai jo mool roop se America ki paidavar hai lekin aaj ye dunya bhar me pai jati hai to aaiye jante hai iske fayde aur kuch nuksan ya jinhe isse nahi khana chahiye. Isme Vitamin-C. Vitamin-K. Vitamin-E. Vitamin-B6. Beta carotine. Folate. Lutein. Niacin. Riboflavin. Thiamine. Pantothenic acid. Zinc. Phosphorus. Calcium. Manganese. Iron. Magnitiam. Sodium. Potassium. Protein. Sugar. Fat. Dietary fiber. Carbohydrates. Energy. Water  Prachur matra me paya jata hai. Capsicum-(shimla mirch) ke fayde. 1): wazan kam kare. Capsicum-(shimla mirch ) hamare shareer me...

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन) fayde aur nuksan, Hindi mein

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन)  fayde aur nuksan, Hindi mein Lahsun,Garlic  har ghar me istemaal hone wali aam cheez hai iske bina shayad he koi sabzi banti ho ye ek swastwardhak aur aushadhi guno se bhar poor lahsun pyaz ki rishtedaar hai hindustan he nahi balki sari dunya me lahsun ka wibhin prakaar se wyanjano me istemal kiya jata hai iski sabse zyada kheti china me hoti hai mool roop se ye iran aur asia me sabse pehle ugaya gaya tha iska itihas bohot purana hai log isse aushadhi k roop me istemal karte thei aur aaj bhi kai aushadhiyon me iska istemaal hota hai. Isse kai prakaar se istemaal me liya jata hai paste k roop me powder k oil k roop me aur sauce k roop me. Lahsun, Garlic-benefits, (लहसुन) fayde. 1): dil k rogo k liye. Agar aap roz subah lahsun, Garlic  ka istemaal nihar pet kare kacha chaba kar to ye aapke khoon k bahaav ko saaf aur tez karke dil se judi sabhi bimariyo ko door karne me saksham hota hai. 2): dimaqi tention k liye....

Onion (pyaz) onion oil for hair fayde aur nuksan, Hindi mein

Onion (pyaz) onion oil  for hair  fayde aur nuksan, Hindi mein Onion (pyaz) ek aaisi sabzi hai jiske bina khane me maza he na aae na he tadka lage ye hamare pakwano me ye itni zaroori sabzi hai chahe aap isse kacha khae chahe sabzi me paka kar ya salad kay roop me khae ye har haal me aapki sehat kay liye faydemand he hai. Ye kai prakaar me milta hai lal colour, white colour, hare colour, aur iski patti wali nasal bhi Bazaro me pai jati hai to aaiye jaante hai iske fayde aur kuch nuksan isme. Vitamin-A. Vitamin-B6. vitamin-C. Potassium. Calcium. Diateryfiber. Sodium. Sugar. Cobalamin. Iron. Magnesium. Fat. Chromium. Paye jate hai. Onion (pyaz) ke fayde. 1): diabetes kay liye. Jinhe Diabetes jaisi samasya hai unhe pyaz ka sewan karna chahiye isme chromium paya jata hai jo sugar level ko control karta hai. 2): balo kay liye. Jinhe baal jhadne ki samasya hai unhe kacha onion oil   ka sewan karna chahiye sath he hafte me 2 bar on...