Adrak, Ginger- Ginger tea benefits aur nuksan, Hindi mein
Un
Adrak, Ginger aushadhi guno se bharpoor masala jo dunya bhar me khae jane wali cheezo me se hai isse 110 se zyada dawaiyo me istemal kiya jata hai chahe sardi khansi zuqaam ho ya cancer jaise bade rog adrak sabke liye faydemand hai ye hamare ghar me istemal hone wala aam masala hai jo aasani se Bazaro me mil jata hai.
अदरक Zingiberaceae k parivar se aata hai jisme elaichi, haldi, bhi aati hai dakshin poorv asia ne isse sabse pehle khoja tha.
Aaj dunya bhar me adrak ugaya jata hai lekin bharat adrak ugane aur export karne me 7th muqaam rakhta hai.
India me adrak south me sabse zyada ugaya jata hai. Isme
- Magnesium.
- Fat.
- Protein.
- Diatery minerals.
- Manganese.
- Calories.
- Vitamin-B6
- Aur isme pani ki matra 79% hota hai.
- Phosphorus.
- Potassium.
Adrak, Ginger- Ginger tea benefits.
1): acidity k liye.
Kache अदरक ko thoda sa chaba kar khae isse aapke pet me banne wali gas khatam hojaegi.
2): khana zyada hojae to.
Jab aap khana zarurat se zyada kha lo aur gas jaisi samasya paida hojae ya pet tight hojae to Adrak, Ginger kay chote chote tukde karke 3-4 kha le isse aapka bhara pet dhire dhire samaanya hojaega.
3): haddiyon k liye.
Jinko haddiyon me aur jodo me dard ki shikayat ho wo अदरक aur ghee ko mila kar iska roz sewan kare isse haddiya mazboot hoti hai aur body pain khatam hojata hai.
4): Dil kay liye.
Jinko dil se judi samasya hai wo kachi अदरक ya Ginger tea ka roz niyamit istemal kare isse khoon ka bahav sahi hota hai jo dil k liye bohot faydemand hota hai isse high blood pressure niyantrit hota hai dil k rogiyo ko adrak ka sewan zaroor karna chahiye.
5): nazla sardi zuqaam kay liye.
Agar aapko nazla sardi zuqaam hogaya hai jo sardiyo me aam tour par hota hai to aapko roz subah sirf 2_3 din tak thodi si अदरक shahed k sath mila kar niharpet khae ya Ginger tea piye isse nazla zuqaam sardi khatam hojaegi.
6): pachan shakti kay liye.
अदरक ko sendha namak k sath nimbu k juice me mila kar piye isse pachan kriya tez hoti hai jinko bhook na lagne jaisi samasya hai unke liye ye tariqa bohot faydemand hai.
7): skin kay liye.
Roz subah अदरक k 2 chote se tukdo ko halke gungune pani me mila kar piye adrak k tukdo ko kha le upar se wo gunguna pani pi le isse aapki skin chamakdar hojaegi.
8): motapa kam kare.
Agar aapka wazan zyada hai to aapko roz subah ek glass pani me अदरक ko koot kar us pani me mila de phir is pani ko tab tak ubaale jab tak ye 1 glass pani aadha glass na hojae uske baad ye pani gunguna hone k baad pi le isse motapa kam hojaega.
9): periods kay liye.
Jin mahilao ko periods waqt par nahi hota ya kam hota hai unhe अदरक ko koot kar pani me mila kar ubaal kar piye isse periods hone me fayda hoga.
10): acidity kay liye.
Jinko khatti dakare, gas, pet me pani bhar jana jaisi samasya ho wo Roz अदरक ka ya Ginger tea ka niyamit sewan kare isse pet se judi sabhi samasyae khatam hojaegi.
11): balo kay liye.
Jinko baal jhadna, dandruff, baal patle hona jaisi samasya hai unhe अदरक ko pees k iska ras nikal le 2 chamach adrak k ras me ek chamach olive oil mila le is mishran ko balo ki jadd se upar tak poore sar me aaise he laga kar 2 ghante tak rahne de bahtar hoga k aap raat ko is mishran ko laga kar subah wash karle ya 2 ghante rakhne k baad wash karle isse aapke baal kale ghane mazboot dandruff mukt hojaege.
12): अदरक ka murabba.
Sardiyo me अदरक k murabba ka istemaal aapko kai samasyao se chutkara dila sakti hai jaise, pet dard, gas, high blood pressure, sugar control, matli, khansi, sar dard, asthma, mahilao ko periods me hone wale dard se rahat,
Adrak ka murabba banane ka tariqa.
Sabse pehle अदरक ko achi tarah dho kar chote tukdo me kaat le phir isse ek pan me pani daal kar ubaal le ek doosre pan me pani daal kar usme cheeni (sugar) mila le iski chashni bana le
12): अदरक ka murabba.
Sardiyo me अदरक k murabba ka istemaal aapko kai samasyao se chutkara dila sakti hai jaise, pet dard, gas, high blood pressure, sugar control, matli, khansi, sar dard, asthma, mahilao ko periods me hone wale dard se rahat,
Adrak ka murabba banane ka tariqa.
Sabse pehle अदरक ko achi tarah dho kar chote tukdo me kaat le phir isse ek pan me pani daal kar ubaal le ek doosre pan me pani daal kar usme cheeni (sugar) mila le iski chashni bana le
Ab dono adrak aur cheeni ko alag alag 15 se 20 minute tak paka le iske baad unki huwi adrak ko chaashni me mila kar isme thoda nimbu ka ras, elaichi powder mila kar 2 se 3 minute k liye paka le iske baad is mishran ko thanda karke kisi jar me bhar le aur sardiyo me roz subah nihar pet 1 ya 2 chamach khae isse aapke shareer ko oorja milegi.
Adrak, Ginger ke nuksan ya kinhe adrak ka istemal nahi karna chahiye.
1): Adrak, Ginger ka zyada sewan karne se aapko gas pet me dard dast jaisi samasya hosakti hai isliye adrak ka niyamit he sewan kare din bhar me 2 chote tukde.
2): sugar patients ko अदरक ka zyada istemal nahi karna chahiye kyuki ye blood sugar level ko kam kardeta hai jisse sugar k mareezo ko pareshani hosakti hai.
3): sone se pehle Ginger tea ka sewan na kare isse aapko neend bohot dair baad aaegi jisse kai pareshaniya janam le sakti hai.
4): garbhwati mahilae अदरक ka sewan ya iski chai ka sewan na kare adrak ka sewan garbh awastha me ulti matli jaisi samasyao ko door to karta hai lekin iska zyada istemal garbhpat ka karand ban sakta hai jo maa aur bache dono k liye khatarnaak hai isliye agar aap adrak khana chahati ho to apne Dr ki salah zaroor le.
Comments
Post a Comment