Phool gobhi, Cauliflower-benefits aur nuksan, Hindi mein
Phool gobhi, cauliflower hamare wyanjano me istemal hone wali aam sabzi hai jo apne swaad kay karand lokpriya hai isse dunya bhar me ugaya aur khaya jata hai isse sabzi me, fry karke, aur parathe waqera me daal kar istemal kiya jata hai.
China aur india dunya bhar ka 60% phool gobhi ka utpaad karne wale bade utpadak hai aam tour par phool gobhi kay partiya phek di jati hai aur sirf iska safed andar ka hissa khaya jata hai lekin iske pattiyo me bhi Nutrients hote hai videsh kay kuch country's me isse iske pattiyo k sath he khaya jata hai is sabzi me hamare shareer kay liye kafi faydemand Nutrition moujood hai isme.
- Energy.
- Fat.
- Carbohydrates.
- Diateryfiber.
- Sugar.
- vitamin-C.
- Vitamin-B6.
- Vitamin-K.
- Vitamin-E.
- Thiamine.
- Pantothenic-Acid.
- Niacin.
- Riboflavin.
- Zinc.
- Phosphorus.
- Iron.
- Magnesium.
- Calcium.
- Potassium.
- Manganese.
Phool gobhi, cauliflower-benefits
1): jodo kay dard k liye.
Jinhe jodo me haddiyon me maanspeshiyo me dard ki shikayat rahti hai unhe फूल गोभी aur gajar kay juice ko samaan roop me mila kar pina chahiye isse jodo ka haddiyon ka dard kam hojaega.
2): gale ki samasya kay liye.
Jinhe gale me dard ki shikayat rahti ho unhe roz subah phool gobhi, cauliflower ka juice bana kar niyamit roop me pina chahiye isse unke gale ki samasya khatam hojaegi.
3): khoon aur liver saaf kare.
फूल गोभी me aaise Nutrients hote hai jo khoon aur liver me se vishaile pradartho ko nikal dete hai.
4): cancer se bachav.
फूल गोभी ka roz niyamit istemal kisi bhi prakaar kay cancer kay khatre ko khatam karta hai isme vitamin-C prachur matra me paya jata hai jo shareer se vishaile pradartho ko nikal kar cancer khaas tour par Breast cancer, colan cancer, aur pradain cancer itti yadi kay khatre ko kam kardeta hai.
5): immune system bahtar kare.
Roz phool gobhi kay juice ka niyamit istemal karne se aapka immune system bahtar hota hai kyuki isme chlorine paya jata hai jo immune system ko theek karta hai.
6): wazan kam kare.
फूल गोभी ka istemal karne se wazan kam karne me madad milti hai isme Anti oxident hota hai jo liver me moujood vishaile pradartho ko khatam karke extra fat ko kam karta hai.
7): ulcer kay liye.
फूल गोभी kay juice ka ya kachi gobhi chaba kar roz din me 3 bar khana khane kay baad agar sewan kiya jae to ye ulcer ko khatam kardeta hai.
8): balo kay liye.
Jinhe balo kay jhadne ki samasya hai unhe gobhi ko apne diet me shamil karna chahiye isme sabhi prakaar kay vitamins aur minerals pae jate hai jo balo ko jhadne se rok kar usse lambe ghane banate hai.
9): Garbhwati mahilaeo kay liye.
Garbhavastha me phool gobhi ka niyamit sewan karna chahiye isme bache kay swasth tantrika kay liye zaruri folate hota hai.
10): gas kay liye.
Jinhe gas ki samasya hai unhe bhi gobhi ka sewan karna chahiye isse carbohydrates, carbondioxide, hydrogen jaise gases ko khatam karti hai.
11): khoon ki ulti hone par.
Jinhe khoon ki ulti ho unhe फूल गोभी ka sewan karna chahiye isme iron vitamins minerals prachur matra me hote hai jisse khoon ki ulti hona ruk jati hai.
Phool gobhi, Cauliflower ke nuksan.
1): phool gobhi, cauliflower ka adhik sewan karne se uric acid banne ki samasya hosakti hai kyuki isme purine namak tatv hota hai.
Isliye gobhi ka niyamit sewan he kare.
2): agar aap फूल गोभी ko tal kar ya mirch masala laga kar adhik sewan karte ho to aapko iske faydo ki jagah nuksan hosakta hai jaise gas ka banna pet dard waqera.
3): phool gobhi me carbs hote hai jo aasani se pet me nahi galte jise galane kay liye bacteria kaam karte hai isliye gobhi ka atyadhik sewan karne se kidney stone pitte ki pathri jaise samasyae hosakti hai.
Comments
Post a Comment