Black pepper (kali mirch)-kali mirch benefits aur nuksan, Hindi mein
Black pepper (kali mirch) hamare roz marra ke istemal me aane wale masalo me se ek hai isse khane me swad badhane kay liye milaya jata hai isse ayurved me bhi istemal kiya jata hai aap isse burger me istemal kare ya sandwich, ya curry, aap isse jis bhi sabzi me istemal kare ye aapke khane me swad he badhae ga sath he health benefits bhi dega ye dunya bhar me khane me swad badhane aur medicines ki tarah istemal kiya jane wala masala hai iski paidavar sabse pehle Hindustan kay kerala me huwi lekin Aaj dunya ka pehla sabse zyada kali mirch ko ugane aur isse bechne wala desh veitnam hai doosra indonesia aur teesra Hindustan kali mirch kay 6 qisam dunya bhar me pae jate hai 2 kale colour me aur 2 white colour aur 2 anyae mix colour me.
Aaiye jaante hai iske fayde aur kuch nuksan isme.
- Sugar.
- Diateryfiber.
- Monounsaturated fat.
- Saturated fat.
- Polyunsaturated.
- Potassium.
- Sodium.
- vitamin-C.
- Vitamin-B6.
- Vitamin-A.
- Vigamin-D.
- Protein.
- Magnesium.
- Iron.
- Calcium.
- Cobalamin.
Black pepper (kali mirch) kay fayde.
1): ulcer kay liye.
Black pepper (kali mirch) ko pees kar isme shahed mila kar roz subah pine se ulcer jaisi samasya door hojati hai.
2): sardi zuqaam kay liye.
Sardi zuqaam me 3 ya 4 काली मिर्च ko pees kar isse pani me milae us pani ko halka sa gunguna garam karke isme aadha chamach shahed mila kar piye isse sardi khansi zuqaam khatam hojata hai.
3): balo kay liye.
Jinke baal bhure rang kay hogae ho ya jhad rahe ho unhe 2 chamach dahi me 2 chutki काली मिर्च milae sath he isme hans berry k ek chamach ras ko mila kar apne sar par lagae isse kuch he dino me aapke baal kale ghane aur mazboot hojaege.
4): cancer kay liye.
काली मिर्च ka niyamit sewan karne se cancer ka khatra kam hojata hai khaas kar mahilao ko iska sewan karna chahiye isme vitamin-C, vitamin-D, vitamin-A flonites aur doosre anti bacterial tatv pae jate hai jo cancer kay khatre ko door karta hai.
5): cholesterol niyantrit kare.
काली मिर्च aur shahed ko mila kar khane se khoon saaf hota hai jo cholesterol ko kam karne me madad karta hai.
6): acidity kay liye.
Jinhe acidity ki samasya hai unhe roz subah ek chamach shahed me 3-4 kali mirch koot kar milae phir iska sewan kare isse acidity ki samasya khatam hojaegi.
7): balqham saaf kare.
Jinhe sardi zuqaam ki wajah se seene me balqham jama hogaya ho unhe roz subah 3-4 काली मिर्च ko koot kar ek chamach shahed me mila kar pine se seene me jama balqham khatam hojata hai.
8): Dementia kay liye.
Jinhe bhoolne ki samasya hai wo Roz kali mirch ka niyamit istemal kare isme piprane namak tatv paya jata hai jo dimag ko shakti pradaan karke bhoolne ki bimari ko door karta hai.
9): aankho kay liye.
Jinhe aainak lagi ho nazar kamzor ho wo roz काली मिर्च ko pees kar uska powder bana le ab roz din me 2 waqt ek chamach shahed me thoda sa kali mirch ka powder ko mila kar iska sewan kare isse aapke aankho ki roshni tez hogi kyuki isme vitamins aur minerals prachur matra me paya jata hai jo aankho kay liye fayde mand hota hai.
Black pepper (कkali mirch) ke nuksan.
1): agar aapko skin problem hai jaise pimples waqera to aapko Black pepper (kali mIrch) ka istemal nahi karna chahiye isse aapko skin Allergy hosakti hai.
2): काली मिर्च ko niyamit roop me he istemal kare iska atyadhik istemal aapke pet me jalan aur pet dard jaisi samasya khadi kar sakti hai.
3): garbhwati mahilae काली मिर्च ka sewan karne se pehle Dr ki salah leni zaroor chahiye kali mirch ka atyadhik sewan karna garbhwati mahilaeo kay liye nuksan dayak hosakta hai aur doodh pilane wali mahilae to iska sewan na he kare isse bache ko Allergy hosakti hai.
4): काली मिर्च ka niyamit he istemal kare iska zyada istemal karne se Asthma muu ki durgandh waqera jaisi samasya hosakti hai.
Wow good website, thank you for sharing.
ReplyDeleteOdia Novel Book Samantaral
Order Odia Books
Odia Books Online