Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन) fayde aur nuksan, Hindi mein
Lahsun,Garlic har ghar me istemaal hone wali aam cheez hai iske bina shayad he koi sabzi banti ho ye ek swastwardhak aur aushadhi guno se bhar poor lahsun pyaz ki rishtedaar hai hindustan he nahi balki sari dunya me lahsun ka wibhin prakaar se wyanjano me istemal kiya jata hai iski sabse zyada kheti china me hoti hai mool roop se ye iran aur asia me sabse pehle ugaya gaya tha iska itihas bohot purana hai log isse aushadhi k roop me istemal karte thei aur aaj bhi kai aushadhiyon me iska istemaal hota hai.
Isse kai prakaar se istemaal me liya jata hai paste k roop me powder k oil k roop me aur sauce k roop me.
Lahsun, Garlic-benefits, (लहसुन) fayde.
1): dil k rogo k liye.
Agar aap roz subah lahsun, Garlic ka istemaal nihar pet kare kacha chaba kar to ye aapke khoon k bahaav ko saaf aur tez karke dil se judi sabhi bimariyo ko door karne me saksham hota hai.
2): dimaqi tention k liye.
Agar aap roz subah khali pet sirf 2-3 लहसुन k piece khale to ye aapke shareer me acid banne nahi deta jisse stress nahi hota aur aap dimaqi tention se chutkara pate hai.
3): cancer se bachav.
लहसुन me aaise ayurvedic tarah pae jate hai jo hamare shareer me banne wale pre radical tatavo ko nasht karta hai aur body me cancer k khatre ko hone se rokta hai.
4): blood pressure k liye.
Roz ek ya do लहसुन k tukdo ka istemaal bade huwe blood pressure ko niyantrit karta hai.
5): immunity system.
Kache लहसुन ko chaba kar khane se ye hamare rog pratirodhak shartmta badha ta hai aur hamare immune system ko mazboot karta hai.
6): daanto k liye.
लहसुन ko koot kar uska paste daanto me hone wale dard ki jagah lagae isse daanto ka dard theek hojaega isme moujood Anti-bacterial tatvo ki wajah se daanto k doosri bimariyo ka khatra B kam hojata hai.
7): weight loss k liye.
Roz raat ko लहसुन k 2-3 kaliyo ko shahed me dubone rakh den subah nihar pet ye lahsun k kaliyo ko khale isse wazan kam hota hai kyuki dono me Anti-bacterial tarah hote hai jo extra charbi ko galane ka kaam karte hai.
Lahsun, Garlic kinhe nahi khana chahiye.
1): agar aapke gurdo me pareshani hai to aapko lahsun, Garlic nahi khana chahiye.
2): agar aap khoon patla karne wali dawar kha rahe ho to लहसुन ka istemal na kare kyuki ye bhi khoon ko patla karta hai isse aapka khoon bohot patla hojaega jisse kabhi bhi choti si bhi cut lagne par khoon bahna chalu hojaega.
3): लहसुन high blood pressure ko kam karne me laabdayak hai lekin agar aap low blood pressure k mareez hai to aapko subah khali pet lahsun ka sewan nahi karna chahiye kyuki lahsun blood pressure ko kam karta hai.
Comments
Post a Comment