Jeera, Cumin, cumin powder- benefits aur nuksan, Hindi mein
Jeera, Cumin hazaro salo se khane k istemaal me aane wala masala hai jiska istemal insan sadiyo se karta chala aaraha hai is masale me hamare shareer k liye zaruri nutrients hote hai hamare desh me iski paidavar aur istemal bohot zyada hota hai isse khane me khushbu aane k liye istemal kiya jata hai lekin kya aap jaante hai is chote se dikhne wale beenj me hamare shareer k liye kai fayde chupe huwe hai aap isse khane me mila kar khae ya aaise he ya aajkal to zeera soda bhi markets me aasani se uplabdh hai chahe aap isse jaisa istemal kare ye aapke liye fayda mand he hai isme
- Petroselinic Acid.
- Fat.
- Protein.
- Diatery minerals.
- Magnesium.
- Monounsaturated fat.
- Vitamin-E.
- Vitamin-B.
- Manganese.
- Iron.
- vitamin-C.
- Vitamin-A
Jeera, cumin, cumin powder- benefits
1): rog pratirodhak shartmta badhae.
Jeera, cumin vitamin-C aur vitamin-A prachur matra me hota hai jo aapke shareer ko rog pratirodhak shartmta ko badha ta hai jisse aapka shareer kai prakaar ki bimariyo se ladne me saksham hojata hai.
2): wazan kam kare.
Jinko wazan badhne jaisi samasya ho wo Roz raat ko 1 litre pani me 2 chamach cumin powder mila kar raat bhar chodd de subah uth kar nihar pet wo zeera pani pi le isse wazan kam karne me kafi laabdayak hoga.
3): khoon ki kami door kare.
Jinko khoon kam hone ki samasya hai wo Roz 1 ya 2 chamach kacha zeera ya cumin powder sewan kare isse unke khoon me badhotari hogi.
4): sardi zuqaam k liye.
Jinko sardi zuqaam ho wo ek chamach zeere ko bareek pees le phir usse aaise he muu me daal le upar se pani pi le isse sardi zuqaam sine (chess) me jama balqam nikal jaega.
5): chahre k liye.
जीरा ko pani me achi tarah ubaal kar phir usse thodi dair thanda hone de iske baad us pani se apne chahre ko dho le isse aapka chahra saaf aur skin chamakdar hojaegi.
6): jee machlana.
Jinka jee machlane lagta ho unhe ek chamach जीरा ko nimbu k ras me mila kar swad anusar mila kar is mishran ko pi le isse jee machlana band hojaega.
7): diabetes k liye.
Jinko diabetes hai wo जीरा, ajwain, sounf, meethi 50-50 gram mila kar isse bareek pees kar iska powder bana le phir isme swad anusar kala namak Mila le roz subah isko ek chamach khae isse diabetes kam hone lagegi sath he jodo ka dard bhi kam hojaega.
8): thyroid k liye.
Ek chamach shahed me ek cup palak ka ras usme ek chouthai cumin powder mila kar piye aaisa karne se thyroid jaisi samasya door hojaegi.
9): kabz k liye.
Agar aapko kabz ki samasya hai to cumin powder, sount ka powder, curry powder, aur kali mirch ka powder samaan roop se mila kar mishran tayyar karle phir isme swad anusar kala namak Mila le khana khate waqt is mishran me ghee mila kar khae isse kabz ki samasya door hojaegi.
10: asthma k liye.
Jinhe saans tootne ki ya asthma jaisi samasya ho unhe जीरा kisi bhi roop me khana chahiye chahe aap zeera aaise he khae ya iska pani piye ye har roop me aapke asthma ko door kardega.
11): anidra k liye.
Jinko neend na aane ki samaya hai wo ek kela (banana) le le isko achi tarah masal kar isme cumin powder mix karle ab is mishran ko dainik roop se sone se 1 ghanta pehle kha le isse anidra ki pareshani door hojaegi.
Jeera, Cumin ke nuksan kinhe isse nahi khana chahiye.
1): jeera, cumin ka adhik istemal na kare sirf powder k roop me ek chamach agar kacha kha rahe ho to 1 ya 2 chamach isse zyada khane par liver failure hosakta hai.
2): garbhwati mahilae जीरा ka niyamit istemal he kare jitna khane me dalte hai utna he iske ilawa alag se isse apni diat me shamil na kare iska atyadhunik istemaal garbhpat k liye khatra ban sakta hai.
3): zeere ka adhik istemal na kare isse aapko dakaar, gas, pet dard, matli jaisi samasya hosakti hai.
Comments
Post a Comment