Skip to main content

Mirchi, Chilli benefits- aur nuksan, Hindi mein

Mirchi, Chilli benefits- aur nuksan, Hindi mein

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)

Mirchi, Chilli:  isse koun nahi jaanta har ghar ki zarurat aur iske bina khana banna na mumkin itni ahmiyat rakhti hai ye hamari roz marra ki zindagi me.
Iska istemal khane me swad k roop me kai prakar se kiya jata hai.
 ye lal, pili, shimla mirch (capsicum)  aur hari rang me aati hai pili hari ko to hamare yaha taste k tour par tal k ya sabzi me sabit daal k pakaya jata hai lal mirch ko zyada tar powder k roop me istemaal kiya jata hai vitamins minerals aur protein se bharpoor mirch hamari zindagi k liye behat mahatvpoorn hai aaiye jaante hai iske fayde aur kuch nuksan.

  1. Isme. Carbohydrates.
  2. Potassium.
  3. Polyunsaturated fat.
  4. Sodium.
  5. Calories.
  6. Sugar.
  7. Diateryfiber.
  8. vitamin-C.
  9. Vitamin-A.
  10. Vitamin-B6.
  11. Vitamin-D.
  12. Iron.
  13. Cobalamin.
Pae jate hai.

Mirchi, Chilli benefits

1): cancer se bachav.
Ek kachi hari mirch roz khae isme moujood prachur matra me Anti oxident shareer ko atirikt safai kay sath he free radical se bacha kar cancer k khatre ko door karti hai.

2): mardo kay liye.
Mardo ko Roz kam se kam ek hari kachi mirch ka sewan zaroor karna chahiye kyuki inhe prostate cancer ka khatra rahta hai scientific research se pata chala hai k mirchi chilli  khane se prostate cancer ka khatra khatam hojata hai.

3): Dil ki bimariyo kay liye.
Sirf roz ek kachi hari mirch khane se khoon me banne wale thakke khatam hojate hai ek shrod se pata chala hai ki iska sewan Dil ki sabhi samasyao se bacha ti hai.

4): rog pratirodhak shartmta badhae.
Kachi hari mirch ka sewan karne se aapke shareer ko rog pratirodhak shartmta se ladne me madad milti hai kyuki isme prachur matra me vitamin-C hota hai jo rogo se ladne ki sharmta me vridhi karta hai.

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)

5): diabetes kay liye.
Jinhe diabetes ki samasya hai wo Roz raat ko 2 hari मिर्च  beech se cheer kar ek glass pani me daal de phir subah uth kar nihar pet muu dhone se pehle is pani ko pile isse sugar level control me rahega.

6): pachan shakti badhae.
Jinko hazme se judi samasya hai unko bhi roz ek kachi hari मिर्च khani chahiye isse pachan shakti badhti hai.

7): wazan ghatane kay liye.
Jinka wazan badha huwa hai unko bhi hari मिर्च ka sewan karna chahiye kyuki isme calories nahi hoti iske sewan se aapko zaruri poshak tatv to mil jate hai lekin aap calories lene se bach jate hai issi liye iska istemal kare.

8): Aankho kay liye.
Haal he me ek kiye gae shrod se pata chala hai kay hari mirch k sewan se aankho se judi samasyae khatam hojati hai kyuki isme prachur matra me vitamin-A hota hai jo aankho k liye bohot faydemand hai.

9): skin kay liye.
Kachi hari मिर्च ka sewan karne se aapki twacha kay liye Anti insulated ka kaam karti hai mirch me Anti bacterial tatv bhi hote hai jo kisi bhi prakaar kay infection se hamare shareer ko bachate aur skin ko chamakdaar banate hai.

10): haddiyon kay liye.
Roz ek kachi hari मिर्च ka sewan karne se haddiyon  se judi sabhi samasyae door hojati hai kyuki isme prachur matra me vitamin-C hota hai.

11): daanto kay liye.
Hari mirch me moujood vitamin-C hamare daanto kay liye kafi faydemand hota hai ek hari mirch khane se aapke dando ka pila pan khatam hojata hai sath he daant mazboot hote hai.

Mirchi, Chilli  ke nuksan aur kinhe nahi khana chahiye.

1): mirchi, chilli  kay zyada istemaal se dairiya hone ka khatra ban jata hai kyuki isme fiber prachur matra me hota hai.

2): jinko Bawasir ki pareshani hai wo kachi hari mirch na khae isme capsin ki matra hone ki wajah se aapki Bawasir ki pareshani badh sakti hai.

3): hari मिर्च ka niyamit istemal he kare din me sirf 1 isse zyada khane par pet me jalan ki samasya hosakti hai.

4): agar aapko ulcer hai to aapko kachi  hari मिर्च nahi khani chahiye isme moujood Anti oxident tatv aapke ulcer ko badha sakte hai.

4): hari mirch me capsin ki matra zyada hoti hai isliye isse zyada khane se aapko allergy hosakti hai isliye iska niyamit he sewan kare.

Comments

Popular posts from this blog

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन) fayde aur nuksan, Hindi mein

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन)  fayde aur nuksan, Hindi mein Lahsun,Garlic  har ghar me istemaal hone wali aam cheez hai iske bina shayad he koi sabzi banti ho ye ek swastwardhak aur aushadhi guno se bhar poor lahsun pyaz ki rishtedaar hai hindustan he nahi balki sari dunya me lahsun ka wibhin prakaar se wyanjano me istemal kiya jata hai iski sabse zyada kheti china me hoti hai mool roop se ye iran aur asia me sabse pehle ugaya gaya tha iska itihas bohot purana hai log isse aushadhi k roop me istemal karte thei aur aaj bhi kai aushadhiyon me iska istemaal hota hai. Isse kai prakaar se istemaal me liya jata hai paste k roop me powder k oil k roop me aur sauce k roop me. Lahsun, Garlic-benefits, (लहसुन) fayde. 1): dil k rogo k liye. Agar aap roz subah lahsun, Garlic  ka istemaal nihar pet kare kacha chaba kar to ye aapke khoon k bahaav ko saaf aur tez karke dil se judi sabhi bimariyo ko door karne me saksham hota hai. 2): dimaqi tention k liye. Agar aap roz sub

Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice, healthiest fruits- benefit, Hindi mein

Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice, healthiest fruits- benefit, Hindi mein  Watermelon, Tarbooj-  Ek aaisa phal jiske bare me har koi jaanta hai ye phal zyada tar garmiyo me zyada tadaad me milta hai. Meetha dekhne me khoobsurat jab hum isse garmiyo me khate hai to taro taza hojate hai isme 76% pani hota hai tarbuz me vItaminq-A, vitamin-B, vitamin-C protien, phosphorus, carbohydrate, potacium, iron, aur magnesium, paya jata ha. lekin kya aapko pata hai ye phal swadist thanda hone k sath sath hamare liye kai faide bhi apne andar rakhta hai. Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice benefits . 1): doctors k mutabik तरबूज garmiyo me hamare body me pani ki matra badhata hai. Sath he garmi se  thandak pohchata hai aap isse aaise he kacha khae ya Watermelon juice bana kar piye ye har haal me aapke shareer me pani ki matra ko badhata hai. 2): bhook Na lagti ho . तरबूज hamari pachan shakti badhata hai. Ulti jaisa mahsoos ho bhook Na lagti ho man ghabrata ho to khane

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi Capsicum-(shimla mirch) ek aaisi sabzi jo dikhne me khoobsurat hone ke sath sath khane me swadist bhi hoti hai isse kai vyanjano me istemal kiya jata hai aur ye kai prakaar ki hoti hai choti badi sabhi prakar ki mool roop se शिमला मिर्च ki pehchan inhi gol aakar ki hai ye hazaro salo se sabziyon me istemal me aane wali sabzi hai jo mool roop se America ki paidavar hai lekin aaj ye dunya bhar me pai jati hai to aaiye jante hai iske fayde aur kuch nuksan ya jinhe isse nahi khana chahiye. Isme Vitamin-C. Vitamin-K. Vitamin-E. Vitamin-B6. Beta carotine. Folate. Lutein. Niacin. Riboflavin. Thiamine. Pantothenic acid. Zinc. Phosphorus. Calcium. Manganese. Iron. Magnitiam. Sodium. Potassium. Protein. Sugar. Fat. Dietary fiber. Carbohydrates. Energy. Water  Prachur matra me paya jata hai. Capsicum-(shimla mirch) ke fayde. 1): wazan kam kare. Capsicum-(shimla mirch ) hamare shareer me mou