Papaya, papita- healthiest fruits, papaya benefit Hindi mein
Papaya, papita- mulayam aur khane me meetha phal jiski taseer garam hoti hai ye ek low calories phal apne andar kai faide rakhta hai iska sewan hamare jism me kai sari bimariyo ko paida hone se rokta hai.
Ye anti-oxident, carotenoid, vitamin-C, fiber, se lais dengue buqaar me kafi laabdayak hota hai aap isse aaise he khali kaccha khae ya salaad bana kar khae ya iska juice piye ye har haal me aapke liye gunkari hota hai to aaiye jaante hai is phal k fayde.
Papaya, papita- papaya benefits.
1): ye phal hamari pachan shakti badhata hai.
2): cholesterol k thakke nahi banne deta.
Cholesterol k thakke heart attack valve ka band hojana aur kai dil k rogo ki wajah banti hai aur पपीता in thakko ko banne se rokta hai.
2): pachan shakti ko badhata hai.
Aaj k dour me hum aaise foods khane par majboor hai jisme tel (oil) hota hai ya junk food waqera 1 पपीता ka hafte me ek bar sewan hamare junk food oil food waqera k nuksan ko khatam kardeta hai kyuki isme fiber k sath papain naam ka enxime hota hai jo kharaab khane k prakop ko door karta hai.
3): cancer ko rokta hai.
पपीता me phytonutrients anti-oxident k sath flavonoids bhari matra me paya jata hai jo cancer k khatre ko kam karta hai.
4): pratirodhak shrmta badhata hai.
Aapka pratirodhak kai aane wali bimariyo se aapko bachata hai.
Sirf ek पपीता me itna vitamin-C hote hai k ye hamari vitamin-C k zarurat ka 150 guna zyada hota hai.
5): twacha k liye papaya, papita- ka chilke ka faida.
पपीता ka chilka phenke mat iska acha pees le grand karle aur iska paste bana kar apne chahre par lagae aadha ghanta rahne de phir kunkune pani se chahra dho le kuch din issi tarah karne se aap dekhoge k aapke chahre k daag dhabbe keel muhase wrinkles khatam hote nazar aaege aur aapki skin chamakdar honi shuru hojayegi.
6): di k rogiyon k liye papita kafi faydemand hota hai.
7): motape ko kam karne me laabdayak
पपीता charbi ko galane ka kaam bhi karta hai isliye jinhe motape ki pareshani hai wo subah dopaher khane se zyada papita khaya kare isse aapke jism ki charbi galna shuru hojaegi.
8): balo ki samasya door karta hai.
Jinko balo se sambandhit koi pareshani ho wo hafte me 3 baar पपीता k chilke ka paste apne sar me lagae phir aadha ghante baad apna sar dho le to inke baal jhadna rusi aur jaisi bhi balo ki samasya ho khatam hojaegi.
9): aankho ki roshni badhata hai.
पपीता me moujood vitamin-C aankho k liye bohot fayde mand hota hai khaas kar badhti umar k logo k liye aap papaya (पपीता) ka roz din bhar me 100 gram papite ka istemal kare isse aankho ki roshni badhti hai.
10): garbhwati mahilaeo k liye
garbhwati mahilao ko delivery k samay पपीता nahi khana chahiye lekin delivery hone k baad Dr mahilao ko bache ki sehat k liye papita khane ki salah dete hai.
Papaya, papita- kin logo ko nahi khana chahiye.
1): garbhwati mahilaeo ko delivery k waqt पपीता nahi khana chahiye.
2): jinko kidney se sambandhit koi bimari hai wo papaya, papita- ka sewan na kare kyuki isme itni matra me anti-oxident hota hai k ye kidney patients k kidney problem aur badha sakta hai.
3): jo log khoon patla karne ki dawai kha rahe hai wo bhi पपीता ka sewan na kare kyuki isme papain namak jo enxime hai wo bhi khoon patla karta hai isliye agar aap dawai kha rahe ho to papita hargiz na khae warna ek chote se cut bhi lagne par khoon rukna band nahi hoga.
4): aur last me har koi पपीता ko raat k samay na khae isse aapka pachan shakti kamzor hogi isliye papite ko sirf subah aur dopaher ko he khae wo bhi 50_50 gram.
Comments
Post a Comment