Skip to main content

Chukandar, beet roots- chukandar ka juice,benefits aur nuksan, Hindi mein

Chukandar, beet roots- chukandar ka juice benefits aur nuksan, Hindi mein 

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)


Chukandar, beet roots  hamare gharo me istemal hone wali ek aam sabzi jaisi he hai jise salad me ya iska juice bana kar ya kai aur prakaar se istemal me liya jata hai.

Ye dunya bhar me pae jane wali sabzi hai aur iske patto me tak poshak tatv hote hai iske jadd me sukroj ki adhik matra pai jati hai aaiye jaante hai c

चुकंदर kay fayde aur nuksan.


  1. Isme phosphorus.
  2. Calcium.
  3. Diateryfiber.
  4. Sugar.
  5. Carbohydrates.
  6. vitamin-1
  7. Vitamin-B6.
  8. Vitamin-2.
  9. Vitamin-3.
  10. Vitamin-5.
  11. Magnesium.
  12. Potassium.
  13. Zinc.
  14. Iron.
  15. Sodium.
Prachur matra me paya jata hai.

Chukandar, beet roots  ke fayde.

1): balo ka jhadna roke.
Chukandar, beet roots  me prachur matra me potassium hota hai jo girte balo ko mazboot karne me kafi laabdayak hota hai.

2): skin kay liye.
Roz subah ek glass chukandar ka juice pine se ye aapke chahre kay koshikao ko nasht hone se bachata hai aur skin ko chamakdaar banata hai.

3): uch raktachap kay liye.
Chukandar ka juice khoon ko saaf karke khoon pump karne k liye aapke dil par atirikt dabaav dalta hai iska juice dunya bhar me swastpat khaad pradharto me se ek maana jata hai.

4): liver kay liye.
Chukandar ka juice aapke liver ko swasth rakhne me madad karta hai shareer se vishaile pradartho ko nikal ta hai isme Glutathione namak pradart hota hai jo liver k liye faydemand hai.

5): rakt pravah ko bahtar banae.
चुकंदर me prachur matra me Nitric oxide hota hai jo rakt me thakke banne nahi deta aur rakt pravah ko bahtar banata hai.

6): jodo ko mazboot kare.
Chukandar ka juice ya isse salad k tour par roz niyamit roop se khane se jod mazboot bante hai.

7): bed time badhae.
चुकंदर ka roz niyamit istemal aapko shakti pradaan karta hai isme moujood Boron naam ka chemical aapke stamina ko 16% tak badha kar aapke bed time ko badha deta hai.

8): chahre kay daag dhabbe hatane.
चुकंदर ko pani me ubaal kar iske pani se muu dhoe isse aapke chahre par pade kale daag dhabbe khatam hojaege.

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)


9): wazan kam kare.
चुकंदर ka roz niyamit istemaal se aapke wazan me kami hongi isme fiber kafi matra me paya jata hai jo wazan ghatane me madad karta hai.

10): pachan shakti badhae.
चुकंदर ka sewan ya iske juice ka sewan karne se aapki pachan shakti badhti hai.

11): ulti dast kay liye.
Roz chukandar ka juice ka niyamit istemaal karne se aapke pet  se sari vishaile pradartho ko saaf karke dast, ulti,  liver infection, haiza, jaisi pareshaniyo se mukt karta hai.

12): khoon ki kami door kare.
चुकंदर kay juice ka sewan karne se khoon ki kami door hojati hai.

13): Thakaan door kare.
Roz चुकंदर kay juice ka niyamit sewan karne se sharirik thakaan door hoti hai aur shareer ko ek nai oorja milti hai.

14): blood pressure niyantrit kare.
Jinhe high blood pressure ki samasya hai unko चुकंदर kay juice ka niyamit sewan karna chahiye isse unka blood pressure niyantrit hota hai.

Chukandar, beet roots  ke nuksan.

1): jinko kidney stone ka khatra ho wo beet chukandar, roots ka juice ya iska sewan na kare isse kidney stone banne ka khatra badh jata hai.

2): चुकन्दर ka zyada istemal karne se mutra aur mal ka rang lal hojata hai ye koi bimari nahi hai lekin aksar log isse khoon nikalna samajh lete hai mal sur mutra ka rang lal hone se koi pareshani to nahi hai lekin phir bhi aap sirf roz ek glass he chukandar ka juice piye.

3): jinka blood pressure low rahta hai unhe iska juice ya kache चुकंदर ka sewan nahi karna chahiye isse unka bp aur low hojaega jisse gambhir pareshani hosakti hai.

4): sath he jinka blood pressure high rahta hai unke liye to ye vardaan se kam nahi lekin dhyan rahe iska niyamit he sewan karna chahiye aur agar aap blood pressure low karne ki dawai kha rahe ho to aapko bhi चुकंदर ka sewan hargiz nahi karna chahiye kyuki dono mil k aapke bp ko zarurat se zyada low kardenge jisse gambhir samasya hosakti hai.

5): chukandar ka juice kitni matra me pina chahiye.
Experts kay anusar hafte me sirf 3 bar he chukandar kay juice ka sewan karna chahiye har bar me 250ml he
Kuch expert kay mutabik aap rozana chukandar ka juice pi sakte hai lekin roz pine se pehle aapko Dr ki salah leni zaruri hai.

Comments

Popular posts from this blog

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन) fayde aur nuksan, Hindi mein

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन)  fayde aur nuksan, Hindi mein Lahsun,Garlic  har ghar me istemaal hone wali aam cheez hai iske bina shayad he koi sabzi banti ho ye ek swastwardhak aur aushadhi guno se bhar poor lahsun pyaz ki rishtedaar hai hindustan he nahi balki sari dunya me lahsun ka wibhin prakaar se wyanjano me istemal kiya jata hai iski sabse zyada kheti china me hoti hai mool roop se ye iran aur asia me sabse pehle ugaya gaya tha iska itihas bohot purana hai log isse aushadhi k roop me istemal karte thei aur aaj bhi kai aushadhiyon me iska istemaal hota hai. Isse kai prakaar se istemaal me liya jata hai paste k roop me powder k oil k roop me aur sauce k roop me. Lahsun, Garlic-benefits, (लहसुन) fayde. 1): dil k rogo k liye. Agar aap roz subah lahsun, Garlic  ka istemaal nihar pet kare kacha chaba kar to ye aapke khoon k bahaav ko saaf aur tez karke dil se judi sabhi bimariyo ko door karne me saksham hota hai. 2): dimaqi tention k liye. Agar aap roz sub

Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice, healthiest fruits- benefit, Hindi mein

Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice, healthiest fruits- benefit, Hindi mein  Watermelon, Tarbooj-  Ek aaisa phal jiske bare me har koi jaanta hai ye phal zyada tar garmiyo me zyada tadaad me milta hai. Meetha dekhne me khoobsurat jab hum isse garmiyo me khate hai to taro taza hojate hai isme 76% pani hota hai tarbuz me vItaminq-A, vitamin-B, vitamin-C protien, phosphorus, carbohydrate, potacium, iron, aur magnesium, paya jata ha. lekin kya aapko pata hai ye phal swadist thanda hone k sath sath hamare liye kai faide bhi apne andar rakhta hai. Watermelon, Tarbooj- Watermelon juice benefits . 1): doctors k mutabik तरबूज garmiyo me hamare body me pani ki matra badhata hai. Sath he garmi se  thandak pohchata hai aap isse aaise he kacha khae ya Watermelon juice bana kar piye ye har haal me aapke shareer me pani ki matra ko badhata hai. 2): bhook Na lagti ho . तरबूज hamari pachan shakti badhata hai. Ulti jaisa mahsoos ho bhook Na lagti ho man ghabrata ho to khane

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi Capsicum-(shimla mirch) ek aaisi sabzi jo dikhne me khoobsurat hone ke sath sath khane me swadist bhi hoti hai isse kai vyanjano me istemal kiya jata hai aur ye kai prakaar ki hoti hai choti badi sabhi prakar ki mool roop se शिमला मिर्च ki pehchan inhi gol aakar ki hai ye hazaro salo se sabziyon me istemal me aane wali sabzi hai jo mool roop se America ki paidavar hai lekin aaj ye dunya bhar me pai jati hai to aaiye jante hai iske fayde aur kuch nuksan ya jinhe isse nahi khana chahiye. Isme Vitamin-C. Vitamin-K. Vitamin-E. Vitamin-B6. Beta carotine. Folate. Lutein. Niacin. Riboflavin. Thiamine. Pantothenic acid. Zinc. Phosphorus. Calcium. Manganese. Iron. Magnitiam. Sodium. Potassium. Protein. Sugar. Fat. Dietary fiber. Carbohydrates. Energy. Water  Prachur matra me paya jata hai. Capsicum-(shimla mirch) ke fayde. 1): wazan kam kare. Capsicum-(shimla mirch ) hamare shareer me mou