Nigella (kalonji) kalonji oil ke fayde aur nuksan, Hindi mein
Nigella (kalonji) kay aaise aaise hairat angez fayde hai kay aap jaan kar hairan rah jaoge ye medicine aur ayurved me istemal kiya jata hai kalonji ki kheti Europe, Asia, aur Africa me sabse zyada ki jati hai.
lekin hamare yaha bhi aaj kalonji ka istemal badi tadaad me kiya jaraha haiislam me kaha gaya hai k isme mout k ilawa har bimari ka ilaaj moujood hai to aaiye jaante hai iske fayde aur kuch nuksan ya kinhe isse nahi khana chahiye.
Isme
- vitamin-C.
- Vitamin-B6.
- Vitamin-C.
- Iron.
- Magnesium.
- Calcium.
- Diateryfiber.
- Monounsaturated fat.
- Saturated fat.
- Polyunsaturated fat.
- Calories.
- Potassium.
- Sodium.
Nigella (kalonji) kay fayde.
1): jhadte balo kay liye.
Jinhe baal jhadte hai ya baal kafi jhad chuke hai to unhe chahiye k Nigella (kalonji) kay dano ko tel me bhoon le phir isse roz ek waqt apne sar par lagae to isse balo ka jhadna band hojaega aur jinke baal jhad chuke hai unke nae baal ugne shuru hojaege.
2): Bawasir kay masso k liye.
Jinhe Bawasir ki wajah se masse hogae ho wo कलौंजी kay dano ko garam karke pees le ab iska powder masso par lagae isse jald he bawasir kay masse khatam hojaege.
3): kaan (ears) ki sujan kay liye.
Jinke kaano (ears) me sujan hai unhe kalonji oil ko halka garam kar lena hai phir isse thanda hone dena hai iske baad apne kaan me dale isse kano ki sujan khatam hojaegi.
4): cancer kay liye.
Jinhe shuruaati cancer hai unhe kalonji oil ka ek chamach Angoor kay ras me mila kar din me 3 baar pina chahiye isse shuruaati cancer khatam hojata hai lekin yaad rahe aapko isse sirf 1 hafte tak he istemal karna hai.
5): Asthma kay liye.
कलौंजी kay dano ko pani me garam karle phir iska pani nihar pet piye isse jinhe Asthma ki samasya hai unki ye samasya door hojaegi.
6): khoon patla kare.
Jinhe khoon gadhaa hone jaisi samasya hai wo कलौंजी ka niyamit sewan kare ya isse pani me ubaal kar iska pani piye isse khoon patla hoga.
7): heart attack kay liye.
aadha chamach tel (kalonji oil) ko ek chamach bakri (goat) kay doodh me mila kar ek hafte tak pine se dil mazboot hota hai aur heart attack ka khatra khatam hojata hai.
8): pilia kay liye.
कलौंजी ko pees kar doodh me mila kar pine se ye pilia ko door karta hai.
9): dimag tez kare.
कलौंजी ko aaise he sabut khae ya iska powder bana kar shahed me mila kar piye isse dimag tez hota hai.
10): kabz kay liye.
Jinhe kabz ki samasya hai unko कलौंजी kay dano ko sabut ya shahed me milakar khana chahiye isse kabz khatam hojata hai.
11): sardi kay liye.
Kalonji kay dano ko sirf sooghen isse sardi zuqaam khatam hojata hai.
12): chahre kay liye.
कलौंजी kay dano ko subah nihar pet zaitoon kay tel kay sath mila kar sewan kare isse skin chamakdar aur colour fair hota hai sath he chahre kay daag dhabbe khatam hojate hai.
13): diabetes kay liye.
Jinhe diabetes jaisi samasya hai unhe roz subah nashte kay baad niyamit roop me 3/4 कलौंजी yani pouna chamach aur 1/3 yani pou chamach kasini kay beejon ko mila kar khae isse urine me moujood sugar khatam hojaegi aur khoon me glucose ki matra kam hone lag jaegi.
14): kidney stone kay liye.
Jinke kidney ya pitte me stone (pathri) ki samasya hai unhe कलौंजी ko pani me ubaal kar ya shahed me mila kar subah nihar pet pina chahiye isse unka stone urine kay zariye he nikal jaega ya pet me he gal kar khatam hojaega.
Nigella (kalonji) kay nuksan.
1): jo log khoon patla karne wali dawai kha rahe hai unhe Nigella (kalonji) ka sewan nahi karna chahiye isse unka khoon aur patla hojaega aur zara sa kat lagne par khoon bahna nahi rukega.
2): jinhe pehle se he Allergy ki samasya hai hai unhe bhi कलौंजी ka istemal nahi karna chahiye isse unki Allergy ki samasya badh sakti hai.
3): jinka sugar level kam rahta ho unhe bhi kalonji oil ka sewan nahi karna chahiye kyuki kalonji bhi sugar level ko kam karti hai.
4): garbh awastha me कलौंजी ka sewan nahi karna chahiye isse garbh paat ka khatra ban jata hai.
5): jin mahilao ko maasik darm zyada hota hai unhe bhi iska sewan nahi karna chahiye.
Comments
Post a Comment