Spinach, Palak- spinach nutrition value, पालक ke fayde, Hindi mein
Spinach, Palak hamare gharo me istemal hone wali aam sabzi jise bhaji bhi kaha jata hai ye sabzi kai nutrition's se bharpoor hoti hai jo hamare shareer ke liye kafi laabhdayak hoti hai aankho ki roshni badhane ke liye पालक me doosre anye bhajiyo se zyada nutrition's hote hai ye hamare nazaro me aasaani se milne wali sabzi hai to aaiye jaante hai is ke fayde aur kuch nuksan ya kinhe isse nahi khana chahiye.
Spinach Nutrition's
- Vitamin-A.
- Beta carotein.
- Energy.
- Diatery fiber.
- Sugar.
- Protein.
- Carbohydrates.
- Fat.
- Folate.
- Lutein.
- Vitamin-K.
- Vitamin-C.
- Vitamin-K.
- Riboflavin.
- Vitamin-B6.
- Niacin.
- Phosphorus.
- Calcium.
- Iron.
- Zinc.
- Magnesium.
- Manganese.
- Sodium.
- Potassium.
Spinach, Palak- पालक, ke fayde.
1): gale ki sujan door kare.
Spinach, palak me iron vitamins ki prachur matra hoti hai aap iske ras se qarara kijiye jisse khansi gale ki sujan waqera door hojati hai.
2): accidity ke liye.
jinhe accidity jaisi samasya hai unhe niyamit roop se palak ka sewan karna chahiye isse hamare aanto ki safai hoti hai aur pet me banne wali gas ko ye khatam karti hai.
3): dil se judi samasyao ke liye.
jinhe dil se judi koi samasya hai unhe 1 mahine tak 1 katori palak ke ras me aadha chamach jeera powder aur pou (1/2) chamach kali mirch pisi huwi sath me aadha chamach nimbu ka ras mila kar piye isse dil se sambandhit sabhi samasyae khatam hojaegi.
4): urine me jalan ke liye.
jinke urine me jalan hoti hai unhe palak ka ras roz niyamit roop se pina chahiye isse unhe urine khul kar aaega sath he jalan bhi khatam hojaegi.
5): khoon ki kami me.
jinhe khoon ki kami hai unhe palak ka niyamit sewan karna chahiye bahtar hoga aap iska ras rozana aadhi glass subah piye isse khoon mi kami door hojaegi.
6): cancer ke liye.
palak ka niyamit sewan karne se cancer hone ki sambhavna khatam hojati hai kyuki isme folate aur flowonate hota hai jo cancer ke bacteria se ladne me madad karta hai.
7): thyriod ke lkiye.
jinhe thyriod jaisi samasya hai unhe 100 gram palak ke ras me ek chamach shahed aur thoda sa jeera powder mila kar sewan karna chahiye isse unke thyriod ki samasya khatam hojaegi.
8): balo ke liye'
palak ka roz niyamit sewan kare isse aapke baal chamakdaar aur mazboot hojaege.
9): wazan kam karne ke liye.
palak ke ras ka niyamit istemal karne se wazan kam hoga ye aapke digestive system ko mazboot karta hai jisse aapka wazan dhire dhire kam hona shuru hojaega.
10): skin ke liye.
palak ke ras ka niyamit sewan karne se aapki skin chamakdaar hogi sath he chahre ke daag dhabbe khatam hojaege sath he ye keel muhaso ke liye bhi kafi labdayak hai.
11): aankho ke liye.
roz palak ke ras ka istemal karne se ye aapki aankho ki roshni badhane me madad karta hai kyuki isme vitamins minerals fiber protein prachur matra me paya jata hai jisse aapki aankho ki roshni badhegi'
palak ka ras banane ka tariqa.
palak ko achi tarah se saaf dho kar grinder me pees le ab isme ek ya aadha glass pani milae ab isse phir ek bar pees le isse nikal kar bareek kapde ya chalni se chaan le ye aapka palak ka ras tayyar hogaya aapko ye pine me acha bhi lagega sath he aapke shareer ko kafi laabh dega aap is ras me swad ke liye thoda sa shahed bhi mila sakte hai.
Spinach, Palak ke kuch nuksan.
1): Spinach, Palak ko niyamit roop me he istemal kare iska atyadhunik istemal karne se aapko pet se sambandhit samasyae hosakti hai jaise pet me jalan. waqera.
2): ulcer ke patient palak ka ya iske ras ka istemal na kare isse aapki pareshani aur badh sakti hai.
3): palak ka niyamit he sewan kare iska atyadhunik istemal karne se isme moujood fiber ki prachur matra pet me uric acid ki matra badhti hai sath he ye shareer me calcium ki matra ko badha kar gurde ki pathri jaisi samasya paida karsakta hai.
4): agar aap gathiya ke rog se prabhavit hai to aapko palak ka sewan nahi karna chahiye ye shareer me uric acid ko badhata hai sath he calcium ko bhi badha deta hai jisse aapko jodo me sujan aur tez dard jaisi shikayat hosakti hai.
5): palak hamare shareer ke liye kafi laabdayak hoti hai lekin iska din bhar me sirf ek bar he istemal kare agar ras ke roop me karrahe hai to sirf ek cup isse zyada ka istemal karne se alergy jaisi samasya hosakti hai aaisa ummuman to nahi hota lekin palak me uchh matra me histamine hota hai jisse alergy jaisi samasya hosakti hai.
Comments
Post a Comment