Saffron, Zafran- kesar,Saffron plant, benefits of seffron- Hindi mein
Saffron, Zafran- dikhne me behad khoobsurat aur khane me meetha dunya bhar me sabse zyada mahatv rakhne wale masale me se ek hai jo kafi qeemti bhi hota hai aaj jab mai ye article likh raha hu iski kheemat 2,50000 se lekar 2,70000 tak hai iski kheeti india ke kashmir me bade paimane par hoti hai aur ye kashmiri kesar ke naam se he sabse zyada mashoor hai.
lekin dunya bhar me iski sabse zyada kheti karne wala desh iran hai uske baad spain phir india.
isse khane me lazzat ke liye istemal kiya jata hai khaas toaur par meetho me iska adhiktam istemal kiya jata hai aap isse doodh me mila kar piye ya chae (tea) me ya kisi bhi khane ki cheez me mila kar piye
kesar itna kheemti hone ke sath sath hamare sehat ke liye kafi faydemand bhi hota hai to aaiye jaante hai iske fayde aur kuch nuksan ya kinhe isse nahi khana chahiye.
kesar itna kheemti hone ke sath sath hamare sehat ke liye kafi faydemand bhi hota hai to aaiye jaante hai iske fayde aur kuch nuksan ya kinhe isse nahi khana chahiye.
Nutrition
- Vitamin-A
- Vitamin-C.
- Vitamin-D.
- Vitamin-B6.
- Thiamine.
- Folate.
- Riboflavin.
- Potasium.
- Zinc.
- Manganese.
- Selenium.
- Phosphorus.
- Calcium.
- Iron.
- Copper.
- Satureted fat.
- mono saturetedfat.
- Energy.
- Water.
- Polyunsatureted fat.
- Carbohydrate.
- Diatery fiber.
Saffron Plant
Saffron, Zafran ke fayde,
1): Saffron, Zafran- aur chandan mo mila kar mathe par lagae isse dimag tez hota hai.
2): aankho ke liye.
chandan aur kesar ka lape bana kar isse apne mathe par lagae isse sar dard khatam hota hai sath he ye aankho ko bhi thandak pohchata hai.
3): khoon saaf kare.
kesar ko pani me ya doodh me mila kar pine se ye hamare shareer ke khoon ko saaf karta hai jisse hamare shareer ko kai prakaar ki bimariyo se ladne me madad milti hai.
4): skin ke liye.
kesar ko raat me pani me bhig ne ke liye daal de subah us pani ko pi le aaisa aapko poore 1 mahine tak karna hai isse aapki skin chamakdar aur colour gora hojaega.
5): sar dard ke liye.
jinhe sar dard ki samasya hai unko केसर aur chandan ka lep bana kar apne mathe par lagana chahiye isse unka sar dard khatam hojaega ye dimag ko shaant aur tez karne me bhi kafi laabdayak tariqa hai.
6): sardi ke liye.
jinhe sardi zuqaam hogai ho unhe kesar ka pani pina chahiye isse unki sardi khatam hojaegi.
7): agar aapko naak (nose) se khoon nikal raha hai to केसर ka istemal kare isse naak se khoon nikalna band hojaega.
8): jali kati skin ke liye.
8): jali kati skin ke liye.
agar aapki skin kahi par kati ya jali huwi hai to kesar ka lape bana kar us jagah lagae isse bohot jald he wo skin theek hojaegi.
9): neend ke liye.
jinhe neend kam aane jaisi samasya hai unhe ek glass doodh me ek chamach shahed aur ek chutki kesar mila kar pine se neend achi aane lagegi.
10): dil ki kamzori ke liye.
jinka dil kamzor hai unhe chahiye ke केसर ko mitti ke bartan me aadha cup pani me mila kar raat bhar bhigne dena chahiye ab isse subah 15 se 20 kishmish khate huwe ye pani pina chahiye isse dil mazboot hojaega.
11): केसर ka niyamit istemal kare doodh ke sath ya pani me mila kar isse jinhe high blood presure ki samasya hai unki ye pareshani door hojaegi.
12): anemia ke liye.
jinhe anemia ki samasya hai unhe kesar ka pani pina chahiye isse unki ye samasya door hojaegi.
13): periods ke liye.
jin mahilao ko kam periods matlab khoon kam bahne jaisi shikayat hai unhe kesar ka gadhaa bana kar pina chahiye isse periods me khoon zyada bahna shuru hojaega lekin yaad rahe jinhe normal ya zyada khoon bahta hai wo mahilae iska istemal na kare.
Saffron, Zafran- ke kuch nuksan.
1): Saffron, Zafran ka istemal garbhwati mahilao ko nahi karna chahiye isse garbhpath ka khatra ban jata hai Dr,s bhi garbhwati mahilao ko kesar ka istemal karne se mana karte hai.
2): केसर ka niyamit he sewan kare iska zyada istemal karne se aapko sar dard ulti dast jaisi samasya hosakti hai .
3): jo mahilae bacho ko doodh pila rahi ho unhe bhi kesar ka istemal nahi karna chahiye ye unke aur bache dono ke liye nuksan dayak hosakta hai.
4): garbhwati mahilao ko sahi samay par aur sahi matra me he केसर ka istemal karna chahiye agar aapko iski sahi matra aur sahi samay pata nahi to Dr se salah le garbhwati mahilao ko niyamit roop me he kesar ka sewan karna chahiye iska adhiktam istemal karne se garbhpat ka khatra ban jata hai.
I've read several articles on this topic over the past few days, but yours is the only one that makes sense to me. Thank you. For more information visit here: zaitoon ka oil
ReplyDelete