Skip to main content

Corona virus, Corona virus symptoms-Latest Updates, isse bachaav, Hindi mein

Corona virus, Corona virus symptoms-Latest Updates, isse bachaav, Hindi mein



Corona virus, Aaj Dunya Bhar Me Apna Kahar Barpa Raha Hai Abhi Tak is virus ne dunya bhar me logo ko pareshan kar rakha hai  aur sari dunya me is virus se abtak 3,959,103 se zyada log prabhavit hochuke hai. Aur dunya bhar me isse marne walo ki tadaad 252,573 hochuki hai.
isse sabse zyada prabhavit desho me china pehla hai. jo ye virus bhi issi desh ke wuhaan shaher se nikla hai.
doosra is virus se sabse zyada prabhavit desh America hochuka hai.
aur teesra desh italy hain. Aur chautha desh  spain hai abhi tak is khatarnaak bimari ka ilaaj nahi mil paya hai lekin umeed hai ke jald he mil jaega is virus ko rokne ke liye dunya bhar ke har desh me toofani satah par vikalp kiye jarahe hai 

Corona Virus ka India me prabhaav.

Corona Virus ka India me prabhaav padna 74 dino se shuru hochuka hai abhi tak Hindustan me is Virus se prabhavit logo ki tadaat  47,650 hochuki hai jinme 450 log videsh se aae huwe thei aur 47,200 log India ke he hai  aur isse marne walo ki tadaat abhi tak 1620 mamle samne achuke hai. 
  Halake is virus se 12,967 log abhi tak theek bhi hochuke hai.
hame is virus se darne ki zyada zarurat nahi kyuki ek research me pata chala hai ke  ye sardi me taqat war hota hai aur garmi me ye virus mar jata hai aur garmiyo ab shuru he hone wali hai umeed hai ki is ka ilaaj jald he mil jaega

Corona Virus se bachaav ka tariqa

1): jis vyakti ko ye virus laga huwa hai usse kam se kam 2 metre (6.5 feet) ki doori banae rakhe.

2): har 20 minute me apne hath sabun se ya Hand wash se ya sanityser se.

3): apne aas pass safai ka khaas qayal rakhe ghar ko din me kam se kam 1 bar ache se saaf kare.

4): bheed bhaad wali jagaho par jane se parhez kare jaise theatres, shopping malls, stadiums, railway stations, bus depot, waqera,

5): aap jab bhi apne ghar se ya office waqera se bahar nikle apne chahre par mask laga kar rakhe.

6): apne ghar me toilet ko din me kam se 2 bar dhoe (wash kare).

7): abhi to dunya bhar me lock down chal raha hai in halaat me apne gharo se bahar na nikle agar behad zaruri kaam ho to he bahar jae aur social distencing banae rakhe har ek wyakti se lagbhag 6 feet ki doori par rahe.

8): jin fruits aur vegetable me Vitamin-C ki matra pai jati hai unka zyada se zyada upyog kare ye hamare Digestive system ko mazboot bana ta hai aur corona se hamara Digestive system he ladta hai.

Corona Virus ke lakshann.

Corona Virus ke lakshan aam hai jo jald pehchan me nahi aate jaise.
1): sukhi khansi hona.
2): achanak buqar (fever) hona.
3): sardi zuqam hona.
4): saans lene me takleef hona.
5): gale me kharaash hona.
6): sar me dard.
 is Virus se bachaav ka sabse acha tariqa saavdhani hai bila wajah public places par na jae apne aur apne parivar jano ka khayal rakhe.

kuch afwahe phail rahi hai ke pyaz (onion) ka istemal karne se ye Virus khatam hojata hai ye bilkul be bunyad bate hai iski koi haqiqat nahi hai agar aapko zara sa bhi Corona Virus ke samkramand hone ka shak ho turant Dr se sampark kare pyaz waqera se ye bimari jane wali nahi.

Ha phir bhi aapko aam sardi zuqam hai ya in halaat me shuru huwi hai to 1 ya 2 lahsun ke kali kacha chaba kar kha le isse sardi jald theek hojaegi lekin sath he Dr se dawai bhi zaroor le len.

Comments

Popular posts from this blog

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi Capsicum-(shimla mirch) ek aaisi sabzi jo dikhne me khoobsurat hone ke sath sath khane me swadist bhi hoti hai isse kai vyanjano me istemal kiya jata hai aur ye kai prakaar ki hoti hai choti badi sabhi prakar ki mool roop se शिमला मिर्च ki pehchan inhi gol aakar ki hai ye hazaro salo se sabziyon me istemal me aane wali sabzi hai jo mool roop se America ki paidavar hai lekin aaj ye dunya bhar me pai jati hai to aaiye jante hai iske fayde aur kuch nuksan ya jinhe isse nahi khana chahiye. Isme Vitamin-C. Vitamin-K. Vitamin-E. Vitamin-B6. Beta carotine. Folate. Lutein. Niacin. Riboflavin. Thiamine. Pantothenic acid. Zinc. Phosphorus. Calcium. Manganese. Iron. Magnitiam. Sodium. Potassium. Protein. Sugar. Fat. Dietary fiber. Carbohydrates. Energy. Water  Prachur matra me paya jata hai. Capsicum-(shimla mirch) ke fayde. 1): wazan kam kare. Capsicum-(shimla mirch ) hamare shareer me...

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन) fayde aur nuksan, Hindi mein

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन)  fayde aur nuksan, Hindi mein Lahsun,Garlic  har ghar me istemaal hone wali aam cheez hai iske bina shayad he koi sabzi banti ho ye ek swastwardhak aur aushadhi guno se bhar poor lahsun pyaz ki rishtedaar hai hindustan he nahi balki sari dunya me lahsun ka wibhin prakaar se wyanjano me istemal kiya jata hai iski sabse zyada kheti china me hoti hai mool roop se ye iran aur asia me sabse pehle ugaya gaya tha iska itihas bohot purana hai log isse aushadhi k roop me istemal karte thei aur aaj bhi kai aushadhiyon me iska istemaal hota hai. Isse kai prakaar se istemaal me liya jata hai paste k roop me powder k oil k roop me aur sauce k roop me. Lahsun, Garlic-benefits, (लहसुन) fayde. 1): dil k rogo k liye. Agar aap roz subah lahsun, Garlic  ka istemaal nihar pet kare kacha chaba kar to ye aapke khoon k bahaav ko saaf aur tez karke dil se judi sabhi bimariyo ko door karne me saksham hota hai. 2): dimaqi tention k liye....

Onion (pyaz) onion oil for hair fayde aur nuksan, Hindi mein

Onion (pyaz) onion oil  for hair  fayde aur nuksan, Hindi mein Onion (pyaz) ek aaisi sabzi hai jiske bina khane me maza he na aae na he tadka lage ye hamare pakwano me ye itni zaroori sabzi hai chahe aap isse kacha khae chahe sabzi me paka kar ya salad kay roop me khae ye har haal me aapki sehat kay liye faydemand he hai. Ye kai prakaar me milta hai lal colour, white colour, hare colour, aur iski patti wali nasal bhi Bazaro me pai jati hai to aaiye jaante hai iske fayde aur kuch nuksan isme. Vitamin-A. Vitamin-B6. vitamin-C. Potassium. Calcium. Diateryfiber. Sodium. Sugar. Cobalamin. Iron. Magnesium. Fat. Chromium. Paye jate hai. Onion (pyaz) ke fayde. 1): diabetes kay liye. Jinhe Diabetes jaisi samasya hai unhe pyaz ka sewan karna chahiye isme chromium paya jata hai jo sugar level ko control karta hai. 2): balo kay liye. Jinhe baal jhadne ki samasya hai unhe kacha onion oil   ka sewan karna chahiye sath he hafte me 2 bar on...