Skip to main content

Grapes, Angoor- healthiest fruits, Grapes benefits Hindi mein

Grapes, Angoor- healthiest fruits, Grapes benefits Hindi mein

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)

Grapes, Angoor- dikhne me chota sa phal hai Jo meetha aur rasila lekin chota packet bada dhamaka wali kahawat asal me angoor par janti hai isme itne faide hai k jaan kar aap hairan hojaoge.
Isme bade bade rogo se ladne ki shakti hoti hai yu to do qisam k angoor hote hai ek kala aur ek light pila Dino k apne apne faide hai angoor garmiyo me Milne wala phal hai isliye jab ye aae to jitna hosake isse khae ye hamare yaha aasani se Milne wala sasta phal hai isse kishmish bhi banti hai.
Angoor me calories, vitamin-C, vitamin-E, vitamin-k, fiber, glucose, magnitiam, aur citric acid jaise gunnd hote hai Jo hamare shareer k liye zaruri hai.

  1. Vitamin-A.         /Vitamin-B6.
  2. Vitamin-C.         /Sugar.
  3. Diateryfiber.       /Calories.
  4. Magnesium.       /Calsium.
  5. And Carbohydrate

Grapes, Angoor- Grapes benefits.

1): jinko diabetes hai unke liye अंगूर bohot faide mand hai ye hamare shareer me sugar level kam karta hai.

2): Jin logo ko kabz ki samasya wo log Grapes, Angoor k juice me Kali mirch aur namak Mila kar piye kabz theek hojaega.

3): ek research se pata chala hai k angoor ka ras (juice) cancer jaisi ghatak bimari se ladne me saksham hota hai.

4): jinka nervous system kharaab ho wo Roz अंगूर ka sewan kare isme vitamin-2, aur vitamin-6 pata jata hai ye hamari naso me 
Khoon ki douran ko badha kar nervous system ko theek karta hai.

5): jinko sujan rahti ho wo subah aur dopaher ko 50_50 gram khana khane k baad  अंगूर ka sewan kare isme potassium pata jata hai Jo urine k zariye sujan ko hamare body se Babar nikal details hai.

6): jinko high blood pressure rahta hai wo log अंगूर ko zaroor khae kyuki isme kafi sare vitamins aur potassium hota hai Jo naso ko sahi karta khoon ki douran ko niyantrit karta hai jisse aapko high blood pressure se rahat milegi.

7): kabz thakawat rahne walo ko bhi Roz अंगूर khana chahiye hamare shareer me gandagi jama hone k karand taxic badh jata hai jisse ye sari pareshaniya hoti hai angoor potassium hota hai jisse hamare shareer ki sari gandagi urine duara bahar nikal kafi hai.

8): jinke balo me dandruff ki shikayat rahti hai baal jhadte hai wo अंगूर ka ras 3 chamach alovera ka ras 3 chamach aur neem k patte ka ras 3 chamach Mila kar apne sar par lagae phir aadha ghanta isse aaise he chodd de aadhe ghante baad balo ko dho le to dandruff aur baal jhadne ki samasya door hojaegi.

 Benefits of fruits and vegetables in Hindi (hinglish)

Grapes, Angoor- kin logo ko khana nahi chahiye.

1): jinko gale me phepdo me kaff ki shikayat rahti hai unke liye Grapes, Angoor- ka sewan karna nuksan dayak hota hai.

2): jinke jism me sujan rahti hai wo log अंगूर ko raat k samay Na khae subah dopaher kha sakte hai lekin raat ko Na khae.

3): Jo sugar patients hai wo अंगूर hargiz Na khae isse unka sugar level badh jata hai.

4): koi bhi ho raat k samay अंगूर Na khae isse dast lagna pet dard jaisi samasya hosakti hai baqi din bhar kha sakte hai.

Comments

Popular posts from this blog

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi

Capsicum-(shimla mirch) benefits aur nuksan janiye hindi Capsicum-(shimla mirch) ek aaisi sabzi jo dikhne me khoobsurat hone ke sath sath khane me swadist bhi hoti hai isse kai vyanjano me istemal kiya jata hai aur ye kai prakaar ki hoti hai choti badi sabhi prakar ki mool roop se शिमला मिर्च ki pehchan inhi gol aakar ki hai ye hazaro salo se sabziyon me istemal me aane wali sabzi hai jo mool roop se America ki paidavar hai lekin aaj ye dunya bhar me pai jati hai to aaiye jante hai iske fayde aur kuch nuksan ya jinhe isse nahi khana chahiye. Isme Vitamin-C. Vitamin-K. Vitamin-E. Vitamin-B6. Beta carotine. Folate. Lutein. Niacin. Riboflavin. Thiamine. Pantothenic acid. Zinc. Phosphorus. Calcium. Manganese. Iron. Magnitiam. Sodium. Potassium. Protein. Sugar. Fat. Dietary fiber. Carbohydrates. Energy. Water  Prachur matra me paya jata hai. Capsicum-(shimla mirch) ke fayde. 1): wazan kam kare. Capsicum-(shimla mirch ) hamare shareer me...

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन) fayde aur nuksan, Hindi mein

Lahsun, Garlic- benefits, (लहसुन)  fayde aur nuksan, Hindi mein Lahsun,Garlic  har ghar me istemaal hone wali aam cheez hai iske bina shayad he koi sabzi banti ho ye ek swastwardhak aur aushadhi guno se bhar poor lahsun pyaz ki rishtedaar hai hindustan he nahi balki sari dunya me lahsun ka wibhin prakaar se wyanjano me istemal kiya jata hai iski sabse zyada kheti china me hoti hai mool roop se ye iran aur asia me sabse pehle ugaya gaya tha iska itihas bohot purana hai log isse aushadhi k roop me istemal karte thei aur aaj bhi kai aushadhiyon me iska istemaal hota hai. Isse kai prakaar se istemaal me liya jata hai paste k roop me powder k oil k roop me aur sauce k roop me. Lahsun, Garlic-benefits, (लहसुन) fayde. 1): dil k rogo k liye. Agar aap roz subah lahsun, Garlic  ka istemaal nihar pet kare kacha chaba kar to ye aapke khoon k bahaav ko saaf aur tez karke dil se judi sabhi bimariyo ko door karne me saksham hota hai. 2): dimaqi tention k liye....

Onion (pyaz) onion oil for hair fayde aur nuksan, Hindi mein

Onion (pyaz) onion oil  for hair  fayde aur nuksan, Hindi mein Onion (pyaz) ek aaisi sabzi hai jiske bina khane me maza he na aae na he tadka lage ye hamare pakwano me ye itni zaroori sabzi hai chahe aap isse kacha khae chahe sabzi me paka kar ya salad kay roop me khae ye har haal me aapki sehat kay liye faydemand he hai. Ye kai prakaar me milta hai lal colour, white colour, hare colour, aur iski patti wali nasal bhi Bazaro me pai jati hai to aaiye jaante hai iske fayde aur kuch nuksan isme. Vitamin-A. Vitamin-B6. vitamin-C. Potassium. Calcium. Diateryfiber. Sodium. Sugar. Cobalamin. Iron. Magnesium. Fat. Chromium. Paye jate hai. Onion (pyaz) ke fayde. 1): diabetes kay liye. Jinhe Diabetes jaisi samasya hai unhe pyaz ka sewan karna chahiye isme chromium paya jata hai jo sugar level ko control karta hai. 2): balo kay liye. Jinhe baal jhadne ki samasya hai unhe kacha onion oil   ka sewan karna chahiye sath he hafte me 2 bar on...